Font by Mehr Nastaliq Web

be-KHabar ko mere aalam ki KHabar ho to gai

Behzad Lakhnavi

be-KHabar ko mere aalam ki KHabar ho to gai

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    be-ḳhabar ko mere 'ālam ḳhabar ho to ga.ī

    zulmat-e-shām-e-alam Dhal ke sahr ho to ga.ī

    sun rahā huuñ ki vo aate haiñ kaleja thāme

    aah sharminda-e-tāsīr-o-asar ho to ga.ī

    dil ye haal hai jaise ki use hosh nahīñ

    is taraf yaar duzdīda nazar ho to ga.ī

    ek tūfāñ hai ki umDā chalā aatā hai

    ġham takmīl mere dīda-e-tar ho to ga.ī

    us kyuuñ rañj kareñ ġham meñ kaTī 'umr apnī

    dil ne jis haal meñ chāhā thā basar ho to ga.ī

    ab to hasrat hai na armāñ hai na ummīd na yaas

    hastī-e-qalb-e-hazīñ zer-o-zabar ho to ga.ī

    be-bulā.e chale aa.e vo mirī bālīñ par

    dekh 'bahzād' mirī shaam sahr ho to ga.ī

    be-KHabar ko mere 'alam ki KHabar ho to gai

    zulmat-e-sham-e-alam Dhal ke sahr ho to gai

    sun raha hun ki wo aate hain kaleja thame

    aah sharminda-e-tasir-o-asar ho to gai

    dil ka ye haal hai jaise ki use hosh nahin

    is taraf yar ki duzdida nazar ho to gai

    ek tufan hai ki umDa sa chala aata hai

    gham ki takmil mere dida-e-tar ho to gai

    us ka kyun ranj karen gham mein kaTi 'umr apni

    dil ne jis haal mein chaha tha basar ho to gai

    ab to hasrat hai na arman hai na ummid na yas

    hasti-e-qalb-e-hazin zer-o-zabar ho to gai

    be-bulae chale aae wo meri baalin par

    dekh 'bahzad' meri sham sahr ho to gai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now