Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kya KHabar thi kisi kafir se mohabbat hogi

Behzad Lakhnavi

kya KHabar thi kisi kafir se mohabbat hogi

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    kyā ḳhabar thī kisī kāfir se mohabbat hogī

    kufr bhī mire īmāñ ko zarūrat hogī

    rāhzan ne mujhe Therā ke ye raste meñ kahā

    raah aisī hai ki rahbar na hājat hogī

    be-piye mast huuñ maiḳhāne hai mujh se bharam

    maiñ jo lūñgā to saaqī ko nadāmat hogī

    āj-kal sehn-e-gulistāñ meñ hai jis baat dhuum

    merā 'ālam mirī mastī mirī vahshat hogī

    shauq-e-dīdār mirī taab nazar lā.egā kaun

    aañkh uThā.ūñgā to jalvoñ ko nadāmat hogī

    maiñ ne ghabrā ke agar kaam tasavvur se liyā

    shām-e-ġham meñ 'ayāñ sub.h-e-masarrat hogī

    kah do ḳhushiyoñ se ki 'bahzād' mujhe kar do mu'āf

    maiñ samajhtā huuñ mujhe ġham se na fursat hogī

    kya KHabar thi kisi kafir se mohabbat hogi

    kufr ki bhi mere iman ko zarurat hogi

    rahzan ne mujhe Thera ke ye raste mein kaha

    rah aisi hai ki rahbar ki na hajat hogi

    be-piye mast hun maiKHane ka hai mujh se bharam

    main jo pi lunga to saqi ko nadamat hogi

    aaj-kal sehn-e-gulistan mein hai jis baat ki dhum

    mera 'alam meri masti meri wahshat hogi

    shauq-e-didar meri tab nazar laega kaun

    aankh uThaunga to jalwon ko nadamat hogi

    main ne ghabra ke agar kaam tasawwur se liya

    sham-e-gham mein hi 'ayan subh-e-masarrat hogi

    kah do KHushiyon se ki 'bahzad' mujhe kar do mu'af

    main samajhta hun mujhe gham se na fursat hogi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now