Font by Mehr Nastaliq Web

subh hui chali nasim-e-subh ka majra na puchh

Behzad Lakhnavi

subh hui chali nasim-e-subh ka majra na puchh

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    sub.h huī chalī nasīm-e-sub.h mājrā na pūchh

    raat to ḳhair kaT ga.ī sub.h ko kyā huā na pūchh

    rāz-e-jamāl-e-āftāb zarre samajh sakeñge kyā

    maiñ huuñ ki hai husn-e-dost kaun hai ḳhud-numā na pūchh

    rahne de yūñhī raaz meñ rāz-o-niyāz-e-'āshqī

    apnā bhī mājrā na kah merā bhī mājrā na pūchh

    merā jahāñ jahān-e-yās chehra mirā udaas udaas

    'ishq ibtidā ye hai 'ishq intihā na pūchh

    dil thā merā bujhā-bujhā sajdoñ vahm bhī na thā

    khiñch ga.ī jabīn-e-shauq quvvat-e-naqsh-e-pā na pūchh

    tere ḳhilāf shaan haiñ itnī karam-mumā.īyāñ

    hasrat-e-har gadā na sun hasrat har gadā na pūchh

    'ishq raaz ek hai donoñ saaz ek hai

    kis ko milā hai but na pūchh kis ko milā ḳhudā na pūchh

    subh hui chali nasim-e-subh ka majra na puchh

    raat to KHair kaT gai subh ko kya hua na puchh

    raaz-e-jamal-e-aftab zarre samajh sakenge kya

    main hun ki tu hai husn-e-dost kaun hai KHud-numa na puchh

    rahne de yunhi raaz mein raaz-o-niyaz-e-'ashqi

    apna bhi majra na kah mera bhi majra na puchh

    mera jahan jahan-e-yas chehra mera udas udas

    'ishq ki ibtida ye hai 'ishq ki intiha na puchh

    dil tha mera bujha-bujha sajdon ka wahm bhi na tha

    khinch hi gai jabin-e-shauq quwwat-e-naqsh-e-pa na puchh

    tere KHilaf shan hain itni karam-mumaiyan

    hasrat-e-har gada na sun hasrat har gada na puchh

    'ishq ka raaz ek hai donon ka saz ek hai

    kis ko mila hai but na puchh kis ko mila KHuda na puchh

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now