bhare motī haiñ goyā tujh dahan meñ
bhare motī haiñ goyā tujh dahan meñ
ki dur-rezī tū kartā hai suḳhan meñ
bahār-ārā vahī hai har chaman meñ
usī kī bū hai nasrīn-o-saman meñ
na phir īdhar udhar nāhaq bhaTaktā
ki hai vo jalva-gar tere hī man meñ
jahāñ vo hai nahīñ vaañ kufr o islām
abas jhagḌā hai shaiḳh o barhaman meñ
huī jaatī hai paanī sharm se sham.a
magar vo maah aayā anjuman meñ
chhuḌāyā thā nipaT mushkil se phir aah
dil aTkā us kī zulf-e-pur-shikan meñ
junūñ ne dast-kārī aisī bhī kī
na thā goyā garebāñ pairahan meñ
marā jaatā hai jis ġhairat meñ dariyā
girā kis kā hai dil chāh-e-zaqan meñ
magar parvāna jal kar ho gayā ḳhaak
ki ro-ro sham.a jaltī hai lagan meñ
jo sunte the dam-e-īsā kā e.ajāz
so dekhā ham ne vo tere suḳhan meñ
na dekhā us parī-jalva ko 'bedār'
rahā mashġhūl tū yaañ mā-o-man meñ
bhare motī haiñ goyā tujh dahan meñ
ki dur-rezī tū kartā hai suḳhan meñ
bahār-ārā wahī hai har chaman meñ
usī kī bū hai nasrīn-o-saman meñ
na phir īdhar udhar nāhaq bhaTaktā
ki hai wo jalwa-gar tere hī man meñ
jahāñ wo hai nahīñ wañ kufr o islām
abas jhagḌā hai shaiḳh o barhaman meñ
huī jatī hai panī sharm se shama
magar wo mah aayā anjuman meñ
chhuḌāyā thā nipaT mushkil se phir aah
dil aTkā us kī zulf-e-pur-shikan meñ
junūñ ne dast-kārī aisī bhī kī
na thā goyā garebāñ pairahan meñ
marā jatā hai jis ġhairat meñ dariyā
girā kis kā hai dil chāh-e-zaqan meñ
magar parwāna jal kar ho gayā ḳhak
ki ro-ro shama jaltī hai lagan meñ
jo sunte the dam-e-īsā kā eajāz
so dekhā hum ne wo tere suḳhan meñ
na dekhā us parī-jalwa ko 'bedār'
rahā mashġhūl tū yañ mā-o-man meñ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.