chubhe jab dil mein Khaar-e-ishq phir kamtar nikalte hain
chubhe jab dil mein Khaar-e-ishq phir kamtar nikalte hain
Aafaq Banarasi
MORE BYAafaq Banarasi
chubhe jab dil meñ ḳhār-e-ishq phir kamtar nikalte haiñ
nikalte haiñ agar tū jaan hī le kar nikalte haiñ
tark-e-nāvak jo siine meñ kabhī chubh kar nikalte haiñ
to ban kar ḳhuun armān-e-dil-e-muztar nikalte haiñ
kidhar kā qasd hai kis kā muqaddar aaj jaagā hai
talab hotā hai shāna ā.īna-e-zevar nikalte haiñ
tumhārā tiir rasta rok kar siine meñ baiThā hai
jo naale bhī nikalte haiñ to ruk-ruk kar nikalte haiñ
vo kahte haiñ ajal hotī hai jis kī ham pe martā hai
qazā aatī hai jab chyūñTī kī us ke par nikalte haiñ
hasīnoñ ko jo dekho shakl kaisī bholī hotī hai
TaTolo dil agar un ke to vo patthar nikalte haiñ
lagā dī garmī-e-ulfat ne kaisī aag siine meñ
ki āñkhoñ se jo aañsū kī jagah aḳhgar nikalte haiñ
koī dekhe zarā 'āfāq' kī us vaqt kaifiyat
kabhī hazrat jo sahbā-e-suḳhan pī kar nikalte haiñ
chubhe jab dil mein KHar-e-ishq phir kamtar nikalte hain
nikalte hain agar tu jaan hi le kar nikalte hain
tark-e-nawak jo sine mein kabhi chubh kar nikalte hain
to ban kar KHun arman-e-dil-e-muztar nikalte hain
kidhar ka qasd hai kis ka muqaddar aaj jaga hai
talab hota hai shana aaina-e-zewar nikalte hain
tumhaara tir rasta rok kar sine mein baiTha hai
jo nale bhi nikalte hain to ruk-ruk kar nikalte hain
wo kahte hain ajal hoti hai jis ki hum pe marta hai
qaza aati hai jab chyunTi ki us ke par nikalte hain
hasinon ko jo dekho shakl kaisi bholi hoti hai
TaTolo dil agar un ke to wo patthar nikalte hain
laga di garmi-e-ulfat ne kaisi aag sine mein
ki aankhon se jo aansu ki jagah aKHgar nikalte hain
koi dekhe zara 'afaq' ki us waqt kaifiyat
kabhi hazrat jo sahba-e-suKHan pi kar nikalte hain
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.III (Pg. 59)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.