dahan hai chhoTa kamar hai patli suDaul bazu jamal achchha
dahan hai chhoTa kamar hai patli suDaul bazu jamal achchha
Shah Akbar Danapuri
MORE BYShah Akbar Danapuri
dahan hai chhoTā kamar hai patlī suDaul baazū jamāl achchhā
tabī'at apnī bhī hai maze kī pasand achchhī ḳhayāl achchhā
in āñkhoñ meñ phirtī hai vo sūrat ye chaltā-phirtā jamāl achchhā
milā-julā hai vo 'āshiqoñ se ye mel pyārā visāl achchhā
nigāh kā ruḳh to merī jānib magar ye dil aur hī taraf hai
chalan tumhārā chhupā nahīñ hai mujhī se chalte ho chaal achchhā
ham apnī hastī miTā rahe haiñ us kī mashq ab baḌhā rahe haiñ
ye zamzame lab par aa rahe haiñ kamāl se hai zavāl achchhā
jabīñ hamārī tumhārā chaukhaT hamārī āñḳheñ tumhārā jalva
tumhārī sīrat hamārī sūrat jo yuuñ mileñ to visāl achchhā
hamārī taqdīr jaag uTThī ye din dikhā.e ki aap aa.e
ye roz achchhā ye raat achchhī ye maah achchhā ye saal achchhā
ġham-e-mohabbat hai ḳhvān-e-ne.amat isī kī talḳhī hai shahd-e-jannat
ye rañj hai ḳhush-gavār 'akbar' ye haal achchhā vabāl achchhā
dahan hai chhoTa kamar hai patli suDaul bazu jamal achchha
tabi'at apni bhi hai maze ki pasand achchhi KHayal achchha
in aankhon mein phirti hai wo surat ye chalta-phirta jamal achchha
mila-jula hai wo 'ashiqon se ye mel pyara visal achchha
nigah ka ruKH to meri jaanib magar ye dil aur hi taraf hai
chalan tumhaara chhupa nahin hai mujhi se chalte ho chaal achchha
hum apni hasti miTa rahe hain us ki mashq ab baDha rahe hain
ye zamzame lab par aa rahe hain kamal se hai zawal achchha
jabin hamari tumhaara chaukhaT hamari aanKHen tumhaara jalwa
tumhaari sirat hamari surat jo yun milen to visal achchha
hamari taqdir jag uTThi ye din dikhae ki aap aae
ye roz achchha ye raat achchhi ye mah achchha ye sal achchha
gham-e-mohabbat hai KHwan-e-neamat isi ki talKHi hai shahd-e-jannat
ye ranj hai KHush-gawar 'akbar' ye haal achchha wabaal achchha
- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 37)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
- Book : Shah Akbar Danapuri Hayat aur Shaeri (Pg. 140 -E139)
- Author : Talha Rizvi Barq
- Publication : Label Litho Press, Patna (1985)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.