dil agar teri mahfil bane
dil agar terī mahfil bane
naaz karne ke qābil bane
jin pe terī tavajjoh huī
zarre vo māh-e-kāmil bane
lutf jab hai ki merī nazar
tere jalvoñ ke qābil bane
mujh ko vo ġham atā kījiye
zindagī kā jo hāsil bane
ishq se ho rahī hai jilā
kyuuñ na ab ā.īna dil bane
vo kahīñ haath phailā.e kyuuñ
tere dar kā jo saa.il bane
jis par paḌ jaa.e terī nazar
kyuuñ na dil us kā bismil bane
shukr kartā rahūñgā terā terā
zindagī laakh mushkil bane
kheltā huuñ maiñ tūfān meñ
kyuuñ na har mauj sāhil bane
ab to 'sādiq' hai ye aarzū
ishq hī merī manzil bane
dil agar teri mahfil bane
naz karne ke qabil bane
jin pe teri tawajjoh hui
zarre wo mah-e-kaamil bane
lutf jab hai ki meri nazar
tere jalwon ke qabil bane
mujh ko wo gham ata kijiye
zindagi ka jo hasil bane
ishq se ho rahi hai jila
kyun na ab aaina dil bane
wo kahin hath phailae kyun
tere dar ka jo sail bane
jis par paD jae teri nazar
kyun na dil us ka bismil bane
shukr karta rahunga tera tera
zindagi lakh mushkil bane
khelta hun main tufan mein
kyun na har mauj sahil bane
ab to 'sadiq' hai ye aarzu
ishq hi meri manzil bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.