dil ke har goshe mein tu ho aashiqi aisi to ho
dil ke har goshe meñ tū ho āshiqī aisī to ho
maiñ terā ho kar rahūñ ab zindagī aisī to ho
merā dil ban jaa.e asrār-e-mohabbat kā amiiñ
tere dāman se mujhe vābastagī aisī to ho
hasrat-o-armāñ kā dil se har nishāñ jaatā rahe
jis meñ ho terī razā merī ḳhushī aisī to ho
zindagī-bhar pā-e-jānāñ hī pe sar jhuktā rahe
bandagī kā lutf jab hai bandagī aisī to ho
be-niyāz-e-ġham guzar jaa.eñ har ek manzil se ham
ishq kī rāhoñ meñ dil ko āgahī aisī to ho
manzil-e-maqsūd baḌh kar ḳhud-ba-ḳhud chūme qadam
kam se kam azm-o-yaqīñ meñ puḳhtagī aisī to ho
sunñe vāloñ ke diloñ ko baḳhsh de nūr-e-yaqīn
mere qisse meñ tumhārī raushnī aisī to ho
zindagī-bhar hosh kā aalam na ho mujh ko nasīb
chashm-e-mast-e-nāz se bāda-kashī aisī to ho
merī har laġhzish pe aa jaa.e mere saaqī ko pyaar
hosh se 'sādiq' mujhe begāngī aisī to ho
dil ke har goshe mein tu ho aashiqi aisi to ho
main tera ho kar rahun ab zindagi aisi to ho
mera dil ban jae asrar-e-mohabbat ka amin
tere daman se mujhe wabastagi aisi to ho
hasrat-o-arman ka dil se har nishan jata rahe
jis mein ho teri raza meri KHushi aisi to ho
zindagi-bhar pa-e-jaanan hi pe sar jhukta rahe
bandagi ka lutf jab hai bandagi aisi to ho
be-niyaz-e-gham guzar jaen har ek manzil se hum
ishq ki rahon mein dil ko aagahi aisi to ho
manzil-e-maqsud baDh kar KHud-ba-KHud chume qadam
kam se kam azm-o-yaqin mein puKHtagi aisi to ho
sunne walon ke dilon ko baKHsh de nur-e-yaqin
mere qisse mein tumhaari raushni aisi to ho
zindagi-bhar hosh ka aalam na ho mujh ko nasib
chashm-e-mast-e-naz se baada-kashi aisi to ho
meri har laghzish pe aa jae mere saqi ko pyar
hosh se 'sadiq' mujhe begangi aisi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.