dur se aae hain hum ai sakinan-e-ku-e-dost
duur se aa.e haiñ ham ai sākinān-e-kū-e-dost
do jagah ham ko bhī thoḌī sī miyān-e-kū-e-dost
rahte haiñ tasbīh meñ taqdīs meñ tahlīl meñ
qudsiyoñ se kam nahīñ haiñ sākinān-e-kū-e-dost
jhuk ga.ī gardan garebāñ kī taraf jab vaqt-e-fikr
nahno-aqrab se milā ham ko nishān-e-kū-e-dost
gulshan-e-jannat kī kyā parvā hai ai rizvāñ unheñ
haiñ jo mushtāq-e-bahisht-e-jāvedān-e-kū-e-dost
ai humā be-fā.eda tū ne qadam-ranja kiyā
mustahiq in haDDiyoñ ke haiñ sagān-e-kū-e-dost
dekhūñ ai vaa.iz kise sunte haiñ dil se sāma.īn
vasf tū firdaus kā kar maiñ bayān-e-kū-e-dost
jab khulā tafsīr se mazmūn-jannāt-e-na.īm
maiñ ye samjhā hai ye qur.āñ meñ bayān-e-kū-e-dost
merī ashkoñ se jo dariyā mauj-zan hai rāt-din
mardum-e-ābī bane haiñ rahravān-e-kū-e-dost
hai nayā aalam hai is aalam se vo aalam judā
aur hī kuchh haiñ zamīn-o-āsmān-e-kū-e-dost
jab qadam rakhā zamīñ par āsmāñ par jā paḌā
bārhā ham ne kiyā hai imtihān-e-kū-e-dost
nāma-bar maiñ jāntā huuñ par batā saktā nahīñ
dil meñ hai lab tak nahīñ aatā nishān-e-kū-e-dost
chāhte ho daab lo us ko baġhal meñ ai 'amīr'
bostāñ 'sādī' kī Thahrā bostān-e-kū-e-dost
dur se aae hain hum ai sakinan-e-ku-e-dost
do jagah hum ko bhi thoDi si miyan-e-ku-e-dost
rahte hain tasbih mein taqdis mein tahlil mein
qudsiyon se kam nahin hain sakinan-e-ku-e-dost
jhuk gai gardan gareban ki taraf jab waqt-e-fikr
nahno-aqrab se mila hum ko nishan-e-ku-e-dost
gulshan-e-jannat ki kya parwa hai ai rizwan unhen
hain jo mushtaq-e-bahisht-e-jawedan-e-ku-e-dost
ai huma be-faeda tu ne qadam-ranja kiya
mustahiq in haDDiyon ke hain sagan-e-ku-e-dost
dekhun ai waiz kise sunte hain dil se samain
wasf tu firdaus ka kar main bayan-e-ku-e-dost
jab khula tafsir se mazmun-jannat-e-naim
main ye samjha hai ye quran mein bayan-e-ku-e-dost
meri ashkon se jo dariya mauj-zan hai raat-din
mardum-e-abi bane hain rahrawan-e-ku-e-dost
hai naya aalam hai is aalam se wo aalam juda
aur hi kuchh hain zamin-o-asman-e-ku-e-dost
jab qadam rakha zamin par aasman par ja paDa
barha hum ne kiya hai imtihan-e-ku-e-dost
nama-bar main jaanta hun par bata sakta nahin
dil mein hai lab tak nahin aata nishan-e-ku-e-dost
chahte ho dab lo us ko baghal mein ai 'amir'
bostan 'sadi' ki Thahra bostan-e-ku-e-dost
- Book : Kalam-e-Ameer Minayee (Pg. 38)
- Author : Ameer Minayee
- Publication : Mashwara Book Dopt. Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.