ek do qadam bhi jo teri rahon mein aa gae
ik do qadam bhī jo tirī rāhoñ meñ aa ga.e
vo ḳhush-nasīb terī panāhoñ meñ aa ga.e
husn-o-jamāl-e-dost kā aalam na pūchhiye
jalva simaT ke merī nigāhoñ meñ aa ga.e
jiine na dete ham ko zamāne ke hādse
achchhā huā ki terī panāhoñ meñ aa ga.e
dil ko matā.a-e-rāhat-o-taskīn mil ga.ī
vo muskurā ke jab bhī nigāhoñ meñ aa ga.e
zarf-e-nazar kī baat hai ham un kī bazm se
kaif-e-hayāt le ke nigāhoñ meñ aa ga.e
dair-o-haram meñ chal diye dair-o-haram ke log
jo riñd the vo terī panāhoñ meñ aa ga.e
maiñ ne hazār sajde kiye haiñ ba-sad-niyāz
jab tere naqsh-e-pā merī rāhoñ meñ aa ga.e
ai ishq jo bhī terī panāhoñ se duur the
jab duur ho ga.e to nigāhoñ meñ aa ga.e
'sādiq' nasīb hogī mujhe sub.h-e-ārzū
vo shaam hī se merī nigāhoñ meñ aa ga.e
ek do qadam bhi jo teri rahon mein aa gae
wo KHush-nasib teri panahon mein aa gae
husn-o-jamal-e-dost ka aalam na puchhiye
jalwa simaT ke meri nigahon mein aa gae
jine na dete hum ko zamane ke hadse
achchha hua ki teri panahon mein aa gae
dil ko mataa-e-rahat-o-taskin mil gai
wo muskura ke jab bhi nigahon mein aa gae
zarf-e-nazar ki baat hai hum un ki bazm se
kaif-e-hayat le ke nigahon mein aa gae
dair-o-haram mein chal diye dair-o-haram ke log
jo rind the wo teri panahon mein aa gae
main ne hazar sajde kiye hain ba-sad-niyaz
jab tere naqsh-e-pa meri rahon mein aa gae
ai ishq jo bhi teri panahon se dur the
jab dur ho gae to nigahon mein aa gae
'sadiq' nasib hogi mujhe subh-e-arzu
wo sham hi se meri nigahon mein aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.