gahe idhar ki fikr hai gahe udhar ki hai
gaahe idhar kī fikr hai gaahe udhar kī hai
miTTī ġharaz ḳharāb jahāñ meñ bashar kī hai
ma.asūm ko bhī naza.a hai hargiz nahīñ mafar
mazlūm kī duā ko bhī hājat asar kī hai
choTī meñ aur juuḌe meñ zālim ke farq hai
ye raah umr-bhar kī hai vo sāl-bhar kī hai
gul-gīr kā ḳhatar to patañgoñ kī hai ḳhalish
aafat meñ jaan shaam se sham-e-sahar kī hai
ujḌī paḌī haiñ turbateñ shāhān-e-dahr kī
phūloñ kī chādareñ haiñ na battī agar kī hai
hotā hai zindagī kā koī dam meñ faisla
din-bhar kī baat hai na pahar-do-pahar kī hai
qudrat to chār-sū tirī raushan hai dahr meñ
hājat na shams kī na zarūrat qamar kī hai
qātil vo shāḳh hai tirī ye teġh-e-ābdār
jis ko na gul kā ġham hai na hājat samar kī hai
sab kuchh ḳhudā ne mujh ko diyā 'arsh' be-talab
duḳhtar kī aarzū na tamannā pisar kī hai
ai 'arsh' aao ḳhaak meñ dillī ke so raheñ
miT kar bhī ḳhvāb-gāh ye ahl-e-hunar kī hai
gahe idhar ki fikr hai gahe udhar ki hai
miTTi gharaz KHarab jahan mein bashar ki hai
masum ko bhi naza hai hargiz nahin mafar
mazlum ki dua ko bhi hajat asar ki hai
choTi mein aur juDe mein zalim ke farq hai
ye rah umr-bhar ki hai wo sal-bhar ki hai
gul-gir ka KHatar to patangon ki hai KHalish
aafat mein jaan sham se sham-e-sahar ki hai
ujDi paDi hain turbaten shahan-e-dahr ki
phulon ki chadaren hain na batti agar ki hai
hota hai zindagi ka koi dam mein faisla
din-bhar ki baat hai na pahar-do-pahar ki hai
qudrat to chaar-su teri raushan hai dahr mein
hajat na shams ki na zarurat qamar ki hai
qatil wo shaKH hai teri ye tegh-e-abdar
jis ko na gul ka gham hai na hajat samar ki hai
sab kuchh KHuda ne mujh ko diya 'arsh' be-talab
duKHtar ki aarzu na tamanna pisar ki hai
ai 'arsh' aao KHak mein dilli ke so rahen
miT kar bhi KHwab-gah ye ahl-e-hunar ki hai
- Book : Kulliyat-e-Arsh Mausum ba Nazm-e-Nau-Nigar wa Kesa-e-Jawahar (Pg. 112)
- Author : Zamiruddin Arsh Gayawi
- Publication : Punjab Fine Arts Press, Kalkatta (1932)
- Edition : 2nd Edition
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.