gham-e-ishq se sargiran aur bhi hain
ġham-e-ishq se sargirāñ aur bhī haiñ
jahāñ ham haiñ shāyad vahāñ aur bhī haiñ
ye duniyā agar mere qābil nahīñ hai
tire paas yārab jahāñ aur bhī haiñ
bahut raaz duniyā se maiñ kah chukā huuñ
kuchh asrār dil meñ nihāñ aur bhī haiñ
ye nāzish ye ḳhud-fahmiyāñ ye tafāḳhur
tumhīñ to nahīñ naujavāñ aur bhī haiñ
baḌhāo na manzil kī sham.eñ abhī se
abhī raah meñ kārvāñ aur bhī haiñ
maiñ apne nasheman kī kyā ḳhair māñgūñ
mere sāmne āshiyāñ aur bhī haiñ
asar soz-e-parvāna se lene vaale
yahāñ chand ātish-ba-jāñ aur bhī haiñ
agar mere sajdoñ se aisī hī zid hai
to banda-navāz āstāñ aur bhī haiñ
nahīñ maiñ navāsanj 'sīmāb' tanhā
bharā baaġh hai naġhma-ḳhvāñ aur bhī haiñ
gham-e-ishq se sargiran aur bhi hain
jahan hum hain shayad wahan aur bhi hain
ye duniya agar mere qabil nahin hai
tere pas yarab jahan aur bhi hain
bahut raaz duniya se main kah chuka hun
kuchh asrar dil mein nihan aur bhi hain
ye nazish ye KHud-fahmiyan ye tafaKHur
tumhin to nahin naujawan aur bhi hain
baDhao na manzil ki shamen abhi se
abhi rah mein karwan aur bhi hain
main apne nasheman ki kya KHair mangun
mere samne aashiyan aur bhi hain
asar soz-e-parwana se lene wale
yahan chand aatish-ba-jaan aur bhi hain
agar mere sajdon se aisi hi zid hai
to banda-nawaz aastan aur bhi hain
nahin main nawasanj 'simab' tanha
bhara bagh hai naghma-KHwan aur bhi hain
- Book : Kaleem-e-Ajam (Pg. 247)
- Author : Seemab Akbarabadi
- Publication : Rifah-e-Aam Press, Agra (UP (1935)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.