gar rah-e-talab mein sadiq hai shikwa bhi dil-e-nashad na kar
gar rah-e-talab mein sadiq hai shikwa bhi dil-e-nashad na kar
Mahboob Warsi Gayavi
MORE BYMahboob Warsi Gayavi
gar rāh-e-talab meñ sādiq hai shikva bhī dil-e-nāshād na kar
haañ zabt se le tū kaam zarā bechain na ho fariyād na kar
koshish to bahut kī maiñ ne magar qismat kī na thī kuchh apnī ḳhabar
le sabr se kaam dil-e-muztar jab daad nahīñ fariyād na kar
ab dil kā hai vīrān chaman vo gul haiñ kahāñ kaisā gulshan
Thahrā hai qafas hī apnā vatan sayyād mujhe āzād na kar
dam toḌ rahā hai dekh zarā āshiq hai tirā kushta hai tirā
ai mohnī sūrat vaale hasīñ mahbūb ko yuuñ barbād na kar
gar rah-e-talab mein sadiq hai shikwa bhi dil-e-nashad na kar
han zabt se le tu kaam zara bechain na ho fariyaad na kar
koshish to bahut ki main ne magar qismat ki na thi kuchh apni KHabar
le sabr se kaam dil-e-muztar jab dad nahin fariyaad na kar
ab dil ka hai viran chaman wo gul hain kahan kaisa gulshan
Thahra hai qafas hi apna watan sayyaad mujhe aazad na kar
dam toD raha hai dekh zara aashiq hai tera kushta hai tera
ai mohni surat wale hasin mahbub ko yun barbaad na kar
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 156)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.