ghazab hai ada chashm-e-jadu-asar mein
ġhazab hai adā chashm-e-jādū-asar meñ
ki dil pis gayā bas nazar hī nazar meñ
shab-e-va.ada saath un ko lā.eñge ghar meñ
ham āñkheñ bujhāte hue rahguzar meñ
mareñ bhī to jā kar usī sar-zamīñ par
mileñ ḳhaak meñ to usī rahguzar meñ
mire qatl ko aa.e is sādgī se
chhurī haath meñ hai na ḳhanjar kamar meñ
bhulāyā ġham-e-dil ne shauq-e-tamāshā
ki ab āñkheñ khultī hai do dopahar meñ
girāñ-bār jitne hue ham jafā se
subuk hī rahe itne us kī nazar meñ
kisī ko vo māreñ kisī ko jilā.eñ
ḳhudā.ī sī karne lage ab to ghar meñ
muue par bhī kuchh chain paayā na ham ne
rahī jaan aTkī usī ishva-gar meñ
thake ham to bas iltijā karte karte
kaTī umr sun sun ke shām-o-sahar meñ
namak bhī chhiḌak rakho paikāñ pe thoḌā
ki lazzat baḌhe aur zaḳhm-e-jigar meñ
ham aise hue dekh kar mahv-e-hairat
ḳhabar hī nahīñ kaun aayā hai ghar meñ
ġham-e-dil nishānī hai furqat kī 'rāqim'
use rakh chalo un kī dīvār-o-dar meñ
ghazab hai ada chashm-e-jadu-asar mein
ki dil pis gaya bas nazar hi nazar mein
shab-e-wada sath un ko laenge ghar mein
hum aankhen bujhate hue rahguzar mein
maren bhi to ja kar usi sar-zamin par
milen KHak mein to usi rahguzar mein
mere qatl ko aae is sadgi se
chhuri hath mein hai na KHanjar kamar mein
bhulaya gham-e-dil ne shauq-e-tamasha
ki ab aankhen khulti hai do dopahar mein
giran-bar jitne hue hum jafa se
subuk hi rahe itne us ki nazar mein
kisi ko wo maren kisi ko jilaen
KHudai si karne lage ab to ghar mein
mue par bhi kuchh chain paya na hum ne
rahi jaan aTki usi ishwa-gar mein
thake hum to bas iltija karte karte
kaTi umr sun sun ke sham-o-sahar mein
namak bhi chhiDak rakho paikan pe thoDa
ki lazzat baDhe aur zaKHm-e-jigar mein
hum aise hue dekh kar mahw-e-hairat
KHabar hi nahin kaun aaya hai ghar mein
gham-e-dil nishani hai furqat ki 'raqim'
use rakh chalo un ki diwar-o-dar mein
- Book : Kulliyat-e-Raqim (Pg. 116)
- Author : Raqim Dehlavi
- Publication : Afzal-ul-Matabe, Dehli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.