fash us ka raaz aaKHir ho gaya
faash us kā raaz āḳhir ho gayā
vo mirī sūrat se zāhir ho gayā
ham vo aur vo ham bane be-inqilāb
ham meñ un meñ sirr-e-nādir ho gayā
mere mā'nī meñ vahī thā bātinan
ab maiñ us mā'nī kā māhir ho gayā
nīstī meñ ban ke mir.āt-e-vujūd
apne jaame se maiñ bāhar ho gayā
kahte haiñ muslim mujhe kāfir tamām
kahte haiñ muslim ki kāfir ho gayā
tere qurbāñ sāqiyā ābād rah
nashsha kyā piite hī sāġhar ho gayā
kho gayā maiñ kho gayā maiñ kho gayā
vo hī bātin vo hī zāhir ho gayā
rab hī Thahrā maiñ na 'ġhausī' abad hī
kyā kahūñ ākHir maiñ kāfir ho gayā
fash us ka raaz aaKHir ho gaya
wo meri surat se zahir ho gaya
hum wo aur wo hum bane be-inqilab
hum mein un mein sirr-e-nadir ho gaya
mere ma'ni mein wahi tha baatinan
ab main us ma'ni ka mahir ho gaya
nisti mein ban ke miraat-e-wujud
apne jame se main bahar ho gaya
kahte hain muslim mujhe kafir tamam
kahte hain muslim ki kafir ho gaya
tere qurban saqiya aabaad rah
nashsha kya pite hi saghar ho gaya
kho gaya main kho gaya main kho gaya
wo hi baatin wo hi zahir ho gaya
rab hi Thahra main na 'ghausi' abad hi
kya kahun aakHir main kafir ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.