hai yahi shart bandagi ke liye
hai yahī shart bandagī ke liye
sar jhukā.ūñ terī ḳhushī ke liye
ishq meñ jal rahe haiñ parvāne
dars-e-ibrat hai aadmī ke liye
ek zamāne ke zulm sahtā huuñ
maiñ faqat aap kī ḳhushī ke liye
mil hī jaatā hai vo bahar-sūrat
jo muqaddar hai zindagī ke liye
ḳhūn-e-dil ashk ban ke bahtā hai
dil taḌaptā hai jab kisī ke liye
is tarah bhī bahār aatī hai
phuul rote haiñ tāzgī ke liye
sach to ye hai ki aap hī kā ġham
ab sahārā hai zindagī ke liye
apne jalvoñ se kījiye ābād
ḳhāna-e-dil hai aap hī ke liye
saarī duniyā ko chhoḌ saktā hai
terā 'sādiq' terī ḳhushī ke liye
hai yahi shart bandagi ke liye
sar jhukaun teri KHushi ke liye
ishq mein jal rahe hain parwane
dars-e-ibrat hai aadmi ke liye
ek zamane ke zulm sahta hun
main faqat aap ki KHushi ke liye
mil hi jata hai wo bahar-surat
jo muqaddar hai zindagi ke liye
KHun-e-dil ashk ban ke bahta hai
dil taDapta hai jab kisi ke liye
is tarah bhi bahaar aati hai
phul rote hain tazgi ke liye
sach to ye hai ki aap hi ka gham
ab sahaara hai zindagi ke liye
apne jalwon se kijiye aabaad
KHana-e-dil hai aap hi ke liye
sari duniya ko chhoD sakta hai
tera 'sadiq' teri KHushi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.