har-nafas unki baat ki jae
har-nafas un kī baat kī jaa.e
yuuñ basar ab hayāt kī jaa.e
bujh rahe haiñ charāġh ashkoñ ke
kaise tābinda raat kī jaa.e
tishnagī kā yahī taqāza hai
chashm-e-sāqī se baat kī jaa.e
ehtimām-e-safar bhī lāzim hai
kuchh to fikr-e-najāt kī jaa.e
apne hī ġham pe tabsira na karūñ
kyuuñ zamāne kī baat kī jaa.e
ziist kā lutf jab hai ai 'sādiq'
sirf tausīf-e-zāt kī jaa.e
har-nafas un ki baat ki jae
yun basar ab hayat ki jae
bujh rahe hain charagh ashkon ke
kaise tabinda raat ki jae
tishnagi ka yahi taqaza hai
chashm-e-saqi se baat ki jae
ehtimam-e-safar bhi lazim hai
kuchh to fikr-e-najat ki jae
apne hi gham pe tabsira na karun
kyun zamane ki baat ki jae
zist ka lutf jab hai ai 'sadiq'
sirf tausif-e-zat ki jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.