faqat hai raat bhar ki is chaman mein mehman shabnam
faqat hai raat bhar kī is chaman meñ mehmāñ shabnam
sahar hote jahāñ sūraj nikal aayā kahāñ shabnam
ġham-o-shādī meñ tavām dekh nairañg-e-chaman bulbul
idhar gul-kHanda-zan haiñ aur udhar girya-kunāñ shabnam
buland-o-past sab meñ hai usī kī raushnī phailī
falak par jalva-gar taare zamīñ par darafshāñ shabnam
sabā to nighat-e-gul kā batātī hai patā lekin
batāyā ye bhī ga.ī be-bāl-o-par uḌ kar kahāñ shabnam
gul taaza havā hai koī pāmāl-e-ḳhizāñ shāyad
ye kis ke sog meñ haiñ yuuñ tire aañsū ravāñ shabnam
kahāñ kāmil kahāñ nāqis kahāñ dariyā kahāñ qatra
kahāñ a.alā kahāñ adnā kahāñ sūraj kahāñ shabnam
'shafaq' abr-e-karam kā shāmiyāna hogā turbat par
chaḌhāe.gī lahad par chādar āb-e-ravāñ shabnam
faqat hai raat bhar ki is chaman mein mehman shabnam
sahar hote jahan suraj nikal aaya kahan shabnam
gham-o-shadi mein tawam dekh nairang-e-chaman bulbul
idhar gul-kHanda-zan hain aur udhar girya-kunan shabnam
buland-o-past sab mein hai usi ki raushni phaili
falak par jalwa-gar tare zamin par darafshan shabnam
saba to nighat-e-gul ka batati hai pata lekin
bataya ye bhi gai be-baal-o-par uD kar kahan shabnam
gul taza hawa hai koi pamal-e-KHizan shayad
ye kis ke sog mein hain yun tere aansu rawan shabnam
kahan kaamil kahan naqis kahan dariya kahan qatra
kahan aala kahan adna kahan suraj kahan shabnam
'shafaq' abr-e-karam ka shamiyana hoga turbat par
chaDhaegi lahad par chadar aab-e-rawan shabnam
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 173)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.