moattar pa ke bu-e-husn se sara badan apna
mo.attar pā ke bū-e-husn se saarā badan apnā
vo sūñghā karte haiñ ḳhud bhī aksar pairahan apnā
raqīboñ kī hamāre ba.ad ab itnī bhī kyā kasrat
kabhī tum ġhaur se dekho to rañg-e-anjuman apnā
irāda aaj be-ḳhauf-o-ḳhatar hai un kī mahfil kā
mohabbat meñ koī dekhe to ye dīvāna-pan apnā
kuchh is aalam meñ vo be-parda nikle sair-e-gulshan ko
ki nasrīñ apnī ḳhushbū rañg bholī nastaran apnā
vo rahm aayā tujhe majbūrī-e-shauq-e-shahādat par
ḳhabar le haath kī ḳhanjar sambhāl ai teġh-zan apnā
hameñ ma.alūm hai sab haal us ke husn-e-abtar kā
banāo itnā na dikhlā.e vo zulf-e-pur-shikan apnā
sabhī kuchh ho gayā un kā hamārā kyā rahā 'hasrat'
na diiñ apnā na dil apnā na jaañ apnī na tan apnā
moattar pa ke bu-e-husn se sara badan apna
wo sungha karte hain KHud bhi aksar pairahan apna
raqibon ki hamare baad ab itni bhi kya kasrat
kabhi tum ghaur se dekho to rang-e-anjuman apna
irada aaj be-KHauf-o-KHatar hai un ki mahfil ka
mohabbat mein koi dekhe to ye diwana-pan apna
kuchh is aalam mein wo be-parda nikle sair-e-gulshan ko
ki nasrin apni KHushbu rang bholi nastaran apna
wo rahm aaya tujhe majburi-e-shauq-e-shahadat par
KHabar le hath ki KHanjar sambhaal ai tegh-zan apna
hamein malum hai sab haal us ke husn-e-abtar ka
banao itna na dikhlae wo zulf-e-pur-shikan apna
sabhi kuchh ho gaya un ka hamara kya raha 'hasrat'
na din apna na dil apna na jaan apni na tan apna
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 326)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.