na jaane kab chhalak jae teri aankhon ka paimana
na jaane kab chhalak jaa.e tirī āñkhoñ kā paimāna
haqīqat ko banā de merī ik pur-dard afsāna
bahut majbūr-o-'ājiz huuñ karam bas itnā farmānā
mirā dil saath le aanā mire kūche meñ jab aanā
vahāñ nafrat panaptī hai yahāñ ulfat kī bastī hai
tumhārā dil hai vīrāna mirā dil hai ḳhudā-ḳhāna
mirī majbūriyāñ roke hue haiñ rāsta merā
hai jū-e-shīr kā laanā mirā tum tak pahuñch jaanā
ḳharīdār-e-mohabbat ban ke aayā huuñ maiñ duniyā meñ
ta'ajjub hai mujhe ab tak ki tum ne kyuuñ na pahchānā
maiñ do din ke liye aayā huuñ is duniyā meñ rahne ko
vo do din bhī guzārūñgā maiñ duniyā meñ faqīrāna
mirī be-mā.egī mujh ko tama’ kā dars detī hai
kahīñ aisā na ho qudrat lagā de mujh pe jurmāna
dikhā de tajziya kar ke jo merī chashm-e-pur-nam kā
tumhāre paas kyā aisā nahīñ hai koī paimāna
na us ko din khaTaktā hai na us ko raat Dastī hai
basar karatā hai jo bhī zindagī apnī ġharībāna
safar kī kar ke nīyat ghar se nikle ho to behtar hai
magar maujūdgī meñ shams kī ghar apne lauT aanā
na ye sunnat hai aaqā kī na ye vājib-o-lāzim hai
banā rakkhā hai tum ne apne dil ko kyuuñ ’azā-ḳhāna
zabāñ kā paas bhī rakhte nahīñ ho apnī ai 'ibrat'
mujhe nāhaq banā rakhā hai tum ne apnā dīvāna
na jaane kab chhalak jae teri aankhon ka paimana
haqiqat ko bana de meri ek pur-dard afsana
bahut majbur-o-'ajiz hun karam bas itna farmana
mera dil sath le aana mere kuche mein jab aana
wahan nafrat panapti hai yahan ulfat ki basti hai
tumhaara dil hai virana mera dil hai KHuda-KHana
meri majburiyan roke hue hain rasta mera
hai ju-e-shir ka lana mera tum tak pahunch jaana
KHaridar-e-mohabbat ban ke aaya hun main duniya mein
ta'ajjub hai mujhe ab tak ki tum ne kyun na pahchana
main do din ke liye aaya hun is duniya mein rahne ko
wo do din bhi guzarunga main duniya mein faqirana
meri be-maegi mujh ko tama’ ka dars deti hai
kahin aisa na ho qudrat laga de mujh pe jurmana
dikha de tajziya kar ke jo meri chashm-e-pur-nam ka
tumhaare pas kya aisa nahin hai koi paimana
na us ko din khaTakta hai na us ko raat Dasti hai
basar karata hai jo bhi zindagi apni gharibana
safar ki kar ke niyat ghar se nikle ho to behtar hai
magar maujudgi mein shams ki ghar apne lauT aana
na ye sunnat hai aaqa ki na ye wajib-o-lazim hai
bana rakkha hai tum ne apne dil ko kyun ’aza-KHana
zaban ka pas bhi rakhte nahin ho apni ai 'ibrat'
mujhe nahaq bana rakha hai tum ne apna diwana
- Book : Maghz-e-Sukhan (Pg. 117)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.