mile jo tu mile apni raza se
mile jo tū mile apnī razā se
ulajh paḌtā huuñ maiñ apnī du'ā se
tire bīmār kī vahshat 'ajab hai
ġharaz us ko du'ā se na davā se
dar-e-jānāñ chhuTā hai na chhuTegā
zamāna jo kahe merī balā se
mohabbat ziist hai 'uqda nahīñ hai
ye hal hotī nahīñ fikr-e-rasā se
jo mar miTtā hai tujh kāfir-adā par
kahāñ martā hai vo zālim qazā se
kahāñ maiñ aur kahāñ terī tamannā
ye ne'amat bhī milī terī 'atā se
mirī ḳhalvat meñ aatā hai vo dilbar
hazāroñ ishva se lākhoñ adā se
sabā ko naaz hai mahshar-ḳhirāmī
milī hai us ko tere naqsh-e-pā se
jamāl-e-yār kā rañgīñ fasāna
bayāñ kyuuñ ho kisī tarz-e-adā se
mire sar ko mile ik but ke sajde
mujhe kyā kaam hai 'imrān ḳhudā se
mile jo tu mile apni raza se
ulajh paDta hun main apni du'a se
tere bimar ki wahshat 'ajab hai
gharaz us ko du'a se na dawa se
dar-e-jaanan chhuTa hai na chhuTega
zamana jo kahe meri bala se
mohabbat zist hai 'uqda nahin hai
ye hal hoti nahin fikr-e-rasa se
jo mar miTta hai tujh kafir-ada par
kahan marta hai wo zalim qaza se
kahan main aur kahan teri tamanna
ye ne'amat bhi mili teri 'ata se
meri KHalwat mein aata hai wo dilbar
hazaron ishwa se lakhon ada se
saba ko naz hai mahshar-KHirami
mili hai us ko tere naqsh-e-pa se
jamal-e-yar ka rangin fasana
bayan kyun ho kisi tarz-e-ada se
mere sar ko mile ek but ke sajde
mujhe kya kaam hai 'imran KHuda se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.