kyun KHushi tumko hui haal-e-pareshan dekh kar
kyuuñ ḳhushī tum ko huī hāl-e-pareshāñ dekh kar
hañs rahe ho kyuuñ mire zaḳhmoñ ko ḳhandāñ dekh kar
do diloñ kī dhaḌkanoñ kā naam ulfat rakh diyā
jaan parvāne diye haiñ sham’-e-sozāñ dekh kar
dast-e-qudrat ne banāyā hai unheñ ik shāhkār
ā.īna hairāñ na kyuuñ ho shān-e-yazdāñ dekh kar
sair-e-gulshan merī qismat meñ nahīñ hai to na ho
jī rahā huuñ duur se sehn-e-gulistāñ dekh kar
un ko apnī bazm kā us par gumāñ hone lagā
dāġh-e-dil ko mere siine se charāġhāñ dekh kar
kam kahīñ hotā hai in bātoñ se andāz-e-junūñ
aur himmat baḌh ga.ī zanjīr-e-zindāñ dekh kar
bas rahī hai aañkh meñ hardam bahār-e-kū-e-dost
kyā kareñge ai 'shafaq' ham bāġh-e-rizvāñ dekh kar
kyun KHushi tum ko hui haal-e-pareshan dekh kar
hans rahe ho kyun mere zaKHmon ko KHandan dekh kar
do dilon ki dhaDkanon ka nam ulfat rakh diya
jaan parwane diye hain sham’-e-sozan dekh kar
dast-e-qudrat ne banaya hai unhen ek shahkar
aaina hairan na kyun ho shan-e-yazdan dekh kar
sair-e-gulshan meri qismat mein nahin hai to na ho
ji raha hun dur se sehn-e-gulistan dekh kar
un ko apni bazm ka us par guman hone laga
dagh-e-dil ko mere sine se charaghan dekh kar
kam kahin hota hai in baaton se andaz-e-junun
aur himmat baDh gai zanjir-e-zindan dekh kar
bas rahi hai aankh mein hardam bahaar-e-ku-e-dost
kya karenge ai 'shafaq' hum bagh-e-rizwan dekh kar
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 185)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.