insaniyat na jis mein ho wo aadmi nahin
insāniyat na jis meñ ho vo aadmī nahīñ
jis meñ huzūr qalb na ho bandagī nahīñ
jis meñ junūn-e-shauq na ho āshiqī nahīñ
dil kā mo.āmla hai koī dil-lagī nahīñ
rahtā hai mere darpai-e-āzār phir bhī vo
us se agarche merī koī dushmanī nahīñ
rātoñ kī niiñd din kā sukūñ ho gayā harām
pūchhā jo kab miloge to bolā kabhī nahīñ
ḳhvābīda hasratoñ kā na ho jis meñ in.ikās
hai kārgah-e-shīshagarī shā.erī nahīñ
us kī sharāb-e-nāb se baḌh kar hai chashm-e-mast
jis ke baġhair lutf-e-mai-o-mai-kashī nahīñ
naqd-e-suḳhan jo karatā hai vo ho suḳhan-shanās
jauhar-shanās ho na agar jauharī nahīñ
'barqī' jo ḳhud-shanās hai vo hai ḳhudā-shanās
gum-gashtagī-e-hosh-o-ḳhirad be-ḳhudī nahīñ
insaniyat na jis mein ho wo aadmi nahin
jis mein huzur qalb na ho bandagi nahin
jis mein junun-e-shauq na ho aashiqi nahin
dil ka moamla hai koi dil-lagi nahin
rahta hai mere darpai-e-azar phir bhi wo
us se agarche meri koi dushmani nahin
raaton ki nind din ka sukun ho gaya haram
puchha jo kab miloge to bola kabhi nahin
KHwabida hasraton ka na ho jis mein inikas
hai kargah-e-shishagari shaeri nahin
us ki sharab-e-nab se baDh kar hai chashm-e-mast
jis ke baghair lutf-e-mai-o-mai-kashi nahin
naqd-e-suKHan jo karata hai wo ho suKHan-shanas
jauhar-shanas ho na agar jauhari nahin
'barqi' jo KHud-shanas hai wo hai KHuda-shanas
gum-gashtagi-e-hosh-o-KHirad be-KHudi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.