is bazm ko mahkao pahle ki tarah phir se
is bazm ko mahkāo pahle kī tarah phir se
mahfil meñ chale aao pahle kī tarah phir se
nazroñ se gire ho tum ab to ye nahii. mumkin
nazroñ meñ samā jaao pahle kī tarah phir se
ye dil to mirā dil hai tum TuuTā huā shīsha
lo joḌ ke batlāo pahle kī tarah phir se
mushkil se to sambhle haiñ phir hosh na kho baiTheñ
chilman ko na sarkāo pahle kī tarah phir se
tum phuul to ho lekin Daalī se judā ho kar
mumkin nahīñ khil paao pahle kī tarah phir se
ye aaj kā rahbar hai bhaTkā ke hī dam legā
sālār koī laao pahle kī tarah phir se
ḳhāmosh ho barsoñ se ‘iz.hār’-e-mohabbat kā
naġhma to koī gaav pahle kī tarah se phir se
is bazm ko mahkao pahle ki tarah phir se
mahfil mein chale aao pahle ki tarah phir se
nazron se gire ho tum ab to ye nahi mumkin
nazron mein sama jao pahle ki tarah phir se
ye dil to mera dil hai tum TuTa hua shisha
lo joD ke batlao pahle ki tarah phir se
mushkil se to sambhle hain phir hosh na kho baiThen
chilman ko na sarkao pahle ki tarah phir se
tum phul to ho lekin Dali se juda ho kar
mumkin nahin khil pao pahle ki tarah phir se
ye aaj ka rahbar hai bhaTka ke hi dam lega
salar koi lao pahle ki tarah phir se
KHamosh ho barson se ‘izhaar’-e-mohabbat ka
naghma to koi gaw pahle ki tarah se phir se
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 313)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.