jab masnad-e-faqr pe baiTh gae shahi ki tamanna kaun kare
jab masnad-e-faqr pe baiTh gae shahi ki tamanna kaun kare
Amjad Hyderabadi
MORE BYAmjad Hyderabadi
jab masnad-e-faqr pe baiTh ga.e shāhī kī tamannā kaun kare
jab mālik-e-kaunain apnā ho kaunain kī parvāh kaun kare
mā'būd agar mash.hūd nahīñ phir tā'at meñ kuchh suud nahīñ
masjūd kī jab tak diid na ho mauhūm ko sajda kaun kare
har ḳhvāhish jaan kī ḳhvāhish hai ḳhvāhish jo na ho āsā.ish hai
suntā nahīñ jab apnī koī phir 'arz-e-tamannā kaun kare
tum aao na aao vā'de par har haal meñ raazī hai 'amjad'
tum jaan aur dil ke mālik ho mālik se taqāzā kaun kare
jab masnad-e-faqr pe baiTh gae shahi ki tamanna kaun kare
jab malik-e-kaunain apna ho kaunain ki parwah kaun kare
ma'bud agar mashhud nahin phir ta'at mein kuchh sud nahin
masjud ki jab tak did na ho mauhum ko sajda kaun kare
har KHwahish jaan ki KHwahish hai KHwahish jo na ho aasaish hai
sunta nahin jab apni koi phir 'arz-e-tamanna kaun kare
tum aao na aao wa'de par har haal mein raazi hai 'amjad'
tum jaan aur dil ke malik ho malik se taqaza kaun kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.