ye zarre jinko hum KHak-e-rah-e-manzil samajhte hain
ye zarre jinko hum KHak-e-rah-e-manzil samajhte hain
Jigar Moradabadi
MORE BYJigar Moradabadi
ye zarre jin ko ham ḳhāk-e-rah-e-manzil samajhte haiñ
zabān-e-hāl rakhte haiñ zabān-e-dil samajhte haiñ
jise sab log husn-o-ishq kī manzil samajhte haiñ
buland us se bhī ham apnā maqām-e-dil samajhte haiñ
haqīqat meñ jo rāz-e-dūrī-e-manzil samajhte haiñ
unhīñ ko ham sulūk-e-ishq meñ kāmil samajhte haiñ
hameñ kyuuñ vo jafā-e-ḳhās ke qābil samajhte haiñ
ye rāz-e-dil hai is ko mujrimān-e-dil samajhte haiñ
isī ik jurm par aġhyār haiñ barpā qayāmat hai
ki ham bedār haiñ aur apnā mustaqbil samajhte haiñ
nigāhoñ meñ kuchh aise bas ga.e haiñ husn ke jalve
koī mahfil ho lekin ham tirī mahfil samajhte haiñ
koī maane na maane us ko lekin ye haqīqat hai
ham apnī zindagī meñ ġhaib ko shāmil samajhte haiñ
ye narm-o-nātavāñ maujeñ ḳhudī kā raaz kyā jāneñ
qadam lete haiñ tūfāñ azmat-e-sāhil samajhte haiñ
hukūmat ke mazālim jab se in āñkhoñ ne dekhe haiñ
jigar ham bamba.ī ko kūcha-e-qātil samajhte haiñ
ye zarre jin ko hum KHak-e-rah-e-manzil samajhte hain
zaban-e-haal rakhte hain zaban-e-dil samajhte hain
jise sab log husn-o-ishq ki manzil samajhte hain
buland us se bhi hum apna maqam-e-dil samajhte hain
haqiqat mein jo raaz-e-duri-e-manzil samajhte hain
unhin ko hum suluk-e-ishq mein kaamil samajhte hain
hamein kyun wo jafa-e-KHas ke qabil samajhte hain
ye raaz-e-dil hai is ko mujriman-e-dil samajhte hain
isi ek jurm par aghyar hain barpa qayamat hai
ki hum bedar hain aur apna mustaqbil samajhte hain
nigahon mein kuchh aise bas gae hain husn ke jalwe
koi mahfil ho lekin hum teri mahfil samajhte hain
koi mane na mane us ko lekin ye haqiqat hai
hum apnī zindagi mein ghaib ko shamil samajhte hain
ye narm-o-natawan maujen KHudi ka raaz kya jaanen
qadam lete hain tufan azmat-e-sahil samajhte hain
hukumat ke mazalim jab se in aankhon ne dekhe hain
jigar hum bambai ko kucha-e-qatil samajhte hain
- Book : Kulliyat-e-Jigar (Pg. 53)
- Author : Jigar Muradabadi
- Publication : Educational Publishing House, Delhi (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.