ishq ki barbaadiyon ko raegan samjha tha main
ishq kī barbādiyoñ ko rā.egāñ samjhā thā maiñ
bastiyāñ niklīñ jinheñ vīrāniyāñ samjhā thā maiñ
be-hijābī ko hijāb-e-darmiyāñ samjhā thā maiñ
sāmne kī baat thī lekin kahāñ samjhā thā maiñ
har nigah ko tab-e-nāzuk par garāñ samjhā thā maiñ
vo bhī kyā din the jab us ko bad-gumāñ samjhā thā maiñ
shād-bāsh-o-zinda-bāsh ai ishq-e-ḳhush saudā-e-man
tujh se pahle apnī azmat bhī kahāñ samjhā thā maiñ
kyā ḳhabar thī ḳhud vo nikleñge barābar ke sharīk
dil kī har dhaḌkan ko apnī dāstāñ samjhā thā maiñ
yaad ayyāme ki jab zauq-e-talab kāmil na thā
har ġhubār-e-kārvāñ ko kārvāñ samjhā thā maiñ
aadmī ko aadmī se ba.ad vo bhī kis qadar
zindagī ko zindagī kā rāz-dāñ samjhā thā maiñ
kyā batā.ūñ kis qadar zanjīr-e-mā-sābit hue
chand tinke jin ko apnā āshiyāñ samjhā thā maiñ
zindagī niklī musalsal imtihāñ-dar-imtihāñ
zindagī ko dāstāñ hī dāstāñ samjhā thā maiñ
us ghirī kī sharm rakh le ai nigāh-e-nāz-e-dost
har-nafas ko jab hayāt-e-jāvidāñ samjhā thā maiñ
merī hī rūdād-e-hastī thī mire hī sāmne
aaj tak jis ko hadīs-e-dīgarāñ samjhā thā maiñ
parda uThā to vahī sūrat nazar aa.ī 'jigar'
muddatoñ rūhul-qudus ko ham-zabāñ samjhā thā maiñ
ishq ki barbaadiyon ko raegan samjha tha main
bastiyan niklin jinhen viraniyan samjha tha main
be-hijabi ko hijab-e-darmiyan samjha tha main
samne ki baat thi lekin kahan samjha tha main
har nigah ko tab-e-nazuk par garan samjha tha main
wo bhi kya din the jab us ko bad-guman samjha tha main
shad-bash-o-zinda-bash ai ishq-e-KHush sauda-e-man
tujh se pahle apnī azmat bhi kahan samjha tha main
kya KHabar thi KHud wo niklenge barabar ke sharik
dil ki har dhaDkan ko apnī dastan samjha tha main
yaad ayyame ki jab zauq-e-talab kaamil na tha
har ghubar-e-karwan ko karwan samjha tha main
aadmi ko aadmi se baad wo bhi kis qadar
zindagi ko zindagi ka raaz-dan samjha tha main
kya bataun kis qadar zanjir-e-ma-sabit hue
chand tinke jin ko apna aashiyan samjha tha main
zindagi nikli musalsal imtihan-dar-imtihan
zindagi ko dastan hi dastan samjha tha main
us ghiri ki sharm rakh le ai nigah-e-naz-e-dost
har-nafas ko jab hayat-e-jawidan samjha tha main
meri hi rudad-e-hasti thi mere hi samne
aaj tak jis ko hadis-e-digaran samjha tha main
parda uTha to wahi surat nazar aai 'jigar'
muddaton ruhul-qudus ko ham-zaban samjha tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.