na kho dete tere jalwe to ye kis ko yaqin hota
na kho dete tire jalve to ye kis ko yaqīñ hotā
dam-e-nazzāra jalvoñ ke sivā kuchh bhī nahīñ hotā
ḳhudā jaane ki is hasrat meñ kitne jaan kho baiThe
tirā jalva kisī din ḳhātam-e-dil kā nagīñ hotā
talab aur justujū shart-e-muqaddam hai magar phir bhī
na chāheñ ḳhud hī vo jab tak kisī se kuchh nahīñ hotā
tirī yaktā.ī kī ḳhātir ḳhayāl apnā baTāyā hai
tasavvur had se baḌh jaatā to sūrat āfrīñ hotā
hazāroñ ġhaflatoñ se sābiqa din-rāt paḌtā hai
magar dil hai ki us kī yaad se ġhāfil nahīñ hotā
kabhī uftādgī kī quvvateñ bhī dekhiye 'kāmil'
vahīñ se kaam bantā hai jahāñ kuchh bhī nahīñ hotā
na kho dete tere jalwe to ye kis ko yaqin hota
dam-e-nazzara jalwon ke siwa kuchh bhi nahin hota
KHuda jaane ki is hasrat mein kitne jaan kho baiThe
tera jalwa kisi din KHatam-e-dil ka nagin hota
talab aur justuju shart-e-muqaddam hai magar phir bhi
na chahen KHud hi wo jab tak kisi se kuchh nahin hota
teri yaktai ki KHatir KHayal apna baTaya hai
tasawwur had se baDh jata to surat aafrin hota
hazaron ghaflaton se sabiqa din-raat paDta hai
magar dil hai ki us ki yaad se ghafil nahin hota
kabhi uftadgi ki quwwaten bhi dekhiye 'kaamil'
wahin se kaam banta hai jahan kuchh bhi nahin hota
- Book : Wardat-e-Kamil Diwan-e-Kamil (Pg. 23)
- Author : Kamil Shattari
- Publication : Kamil Academy (1962)
- Edition : 4th
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.