bimar-e-mohabbat hun tarsao na surat ko
bīmār-e-mohabbat huuñ tarsāo na sūrat ko
bhūle se kabhī aao tum bhī to ayādat ko
muḳhtār ho tum sāheb jo chāho kaaro lekin
itnā bhī satānā kyā majbūr-e-mohabbat ko
us qādir-e-mutlaq ke bande hī jo ham Thahre
hañste hue sahnā hai har jabr-e-mashiyat ko
jis haal meñ vo rakheñ us haal meñ ham ḳhush haiñ
muddat huī dafnā.e ehsās-e-musībat ko
jo ġham meñ masarrat kī ghulne ko hue paidā
bad-baḳht vo kyā jāneñ ḳhud ġham kī masarrat ko
ik buad-e-ḳhayālī se haT kar ġham-e-furqat kyā
maflūj na hone do ehsās-e-ma.īyat ko
vo pusht-panāhī par aa jaate haiñ quvvat se
chheḌe na koī un ke parvarda-e-nisbat ko
sarkār ke bande kā bas dil hī bhar aanā hai
āñkhoñ kī namī bas hai tahrīk-e-ināyat ko
afsāna-e-hastī meñ muzmar hai haqīqat bhī
bhūlo na kahīñ 'kāmil' tum apnī haqīqat ko
bimar-e-mohabbat hun tarsao na surat ko
bhule se kabhi aao tum bhi to ayaadat ko
muKHtar ho tum saheb jo chaho karo lekin
itna bhi satana kya majbur-e-mohabbat ko
us qadir-e-mutlaq ke bande hi jo hum Thahre
hanste hue sahna hai har jabr-e-mashiyat ko
jis haal mein wo rakhen us haal mein hum KHush hain
muddat hui dafnae ehsas-e-musibat ko
jo gham mein masarrat ki ghulne ko hue paida
bad-baKHt wo kya jaanen KHud gham ki masarrat ko
ek buad-e-KHayali se haT kar gham-e-furqat kya
mafluj na hone do ehsas-e-maiyat ko
wo pusht-panahi par aa jate hain quwwat se
chheDe na koi un ke parwarda-e-nisbat ko
sarkar ke bande ka bas dil hi bhar aana hai
aankhon ki nami bas hai tahrik-e-inayat ko
afsana-e-hasti mein muzmar hai haqiqat bhi
bhulo na kahin 'kaamil' tum apnī haqiqat ko
- Book : Wardat-e-Kamil Diwan-e-Kamil (Pg. 152)
- Author : Kamil Shattari
- Publication : Kamil Academy (1962)
- Edition : 4th
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.