hai kidhar qibla batao kis taraf sar KHam rahe
hai kidhar qibla batāo kis taraf sar ḳham rahe
merī nazroñ meñ to har sū qibla-e-ālam rahe
zindagī jaisī bhī kuchh ho jo bhī kuchh aalam rahe
dam bhare jā.eñge terā dam meñ jab tak dam rahe
dāġh-e-dil zaḳhm-e-jigar se aur kuchh matlab nahīñ
baat sirf itnī hai koī yādgār-e-ġham rahe
kis ne mahsūsāt kī duniyā ko baḳhshī āgahī
chāhne vāloñ meñ pahle tum rahe yā ham rahe
dīda-e-tar ik alāmat hai hayāt-e-ishq kī
dil meñ ḳhud dhaḌkan rahegī chashm jab tak nam rahe
is hasīñ uljhan se sau sau husn paidā kyuuñ na hoñ
zulf kī har barhamī par jab koī barham rahe
azm-o-istiqlāl hai shart-e-muqaddam ishaq meñ
koī jaada kyuuñ na ho insān us par jam rahe
duur jaanā hai tujhe ik baat sun le duur kī
ḳhush musāfir aañ ki mī-dārad ba-ġhurbat ham-rahe
ban ga.iiñ ḳhud āfat-e-jāñ apnī gūnāgūniyāñ
ishaq ho yā husn har parde ke pīchhe ham rahe
merī pahlī parvarish taqdīs kī āġhosh meñ
qudsiyoñ ke sar bhī 'kāmil' mere aage ḳham rahe
hai kidhar qibla batao kis taraf sar KHam rahe
meri nazron mein to har su qibla-e-alam rahe
zindagi jaisi bhi kuchh ho jo bhi kuchh aalam rahe
dam bhare jaenge tera dam mein jab tak dam rahe
dagh-e-dil zaKHm-e-jigar se aur kuchh matlab nahin
baat sirf itni hai koi yaadgar-e-gham rahe
kis ne mahsusat ki duniya ko baKHshi aagahi
chahne walon mein pahle tum rahe ya hum rahe
dida-e-tar ek alamat hai hayat-e-ishq ki
dil mein KHud dhaDkan rahegi chashm jab tak nam rahe
is hasin uljhan se sau sau husn paida kyun na hon
zulf ki har barhami par jab koi barham rahe
azm-o-istiqlal hai shart-e-muqaddam ishaq mein
koi jada kyun na ho insan us par jam rahe
dur jaana hai tujhe ek baat sun le dur ki
KHush musafir aan ki mi-darad ba-ghurbat ham-rahe
ban gain KHud aafat-e-jaan apnī gunaguniyan
ishaq ho ya husn har parde ke pichhe hum rahe
meri pahli parwarish taqdis ki aaghosh mein
qudsiyon ke sar bhi 'kaamil' mere aage KHam rahe
- Book : Wardat-e-Kamil Diwan-e-Kamil (Pg. 223)
- Author : Kamil Shattari
- Publication : Kamil Academy (1962)
- Edition : 4th
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.