yahan junun ki hai chira-dasti KHirad ka shahpar hai larzan-larzan
yahan junun ki hai chira-dasti KHirad ka shahpar hai larzan-larzan
Kamilul Qadri
MORE BYKamilul Qadri
yahāñ junūñ kī hai chīra-dastī ḳhirad kā shahpar hai larzāñ-larzāñ
amaañ milegī ye vasvasa hai qadam qadam par haiñ dār-o-zondāñ
yahāñ sabā kī latīf lorī bhī siskiyoñ meñ badal chukī hai
har ek ġhuncha kā is gulistāñ meñ chaak hotā hai jeb-o-dastāñ
yahāñ tamāshā ki ab bhī saaqī talāsh karatā hai mai-kada meñ
ki jām-o-mīnā kahāñ haiñ rakkhe jo riñd baiThe haiñ marg-e-sāmāñ
yahāñ to dast-e-savāl bhī ab ba-rañg-e-āvāz-e-vāpsīñ hai
nigāh uThtī hai jis taraf bhī udhar se phirtī hai hairāñ-hairāñ
'arūs-e-bahāv kā rath maiñ dekhne ko taras gayā huuñ
kahāñ vo manzil kahāñ vo jaada kahāñ vo rahbar kahāñ vo paimāñ
yahan junun ki hai chira-dasti KHirad ka shahpar hai larzan-larzan
aman milegi ye waswasa hai qadam qadam par hain dar-o-zondan
yahan saba ki latif lori bhi siskiyon mein badal chuki hai
har ek ghuncha ka is gulistan mein chaak hota hai jeb-o-dastan
yahan tamasha ki ab bhi saqi talash karata hai mai-kada mein
ki jam-o-mina kahan hain rakkhe jo rind baiThe hain marg-e-saman
yahan to dast-e-sawal bhi ab ba-rang-e-awaz-e-wapsin hai
nigah uThti hai jis taraf bhi udhar se phirti hai hairan-hairan
'arus-e-bahaw ka rath main dekhne ko taras gaya hun
kahan wo manzil kahan wo jada kahan wo rahbar kahan wo paiman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.