karen aah-o-fughan phoDen-phaphole is tarah dil ke
karen aah-o-fughan phoDen-phaphole is tarah dil ke
Aughat Shah Warsi
MORE BYAughat Shah Warsi
kareñ āh-o-fuġhāñ phoḌeñ-phaphole is tarah dil ke
irāda hai ki ro.eñ iid ke din bhī gale mil ke
tamāshe dekhte haiñ āj-kal vo raqs-e-bismil ke
sune ham ne bhī ġhairoñ se ye qisse un kī mahfil ke
kahānī meñ tasalsul hai na mauzūñ hai koī qissa
fasāne bhī pareshāñ haiñ hamāre muztarib dil ke
kareñ kyā ġhair se takrār vo nā-ahl-o-nādāñ hai
jo aaqil haiñ va muñh lagte nahīñ be-maġhz-o-jāhil ke
jagah rone kī hai mad.hosh pā kar bāġh-e-ālam meñ
merī ġhaflat pe ye ġhunche bhī ab hañste haiñ khil khil ke
pareshāñ kyuuñ na ho dukhtā huā dil sair-e-gulshan se
ki ahl-e-dard sun sakte nahīñ naale anādil ke
ye bolā dekh kar ā.īna mujh se vo merā ḳhud-bīñ
kaho ḳhush-rū jahāñ meñ aur haiñ mere muqābil ke
bulāyā pahle maqtal meñ kiyā hai zab.h ḳhud mujh ko
qayāmat tak na bhūlūñgā ye ehsāñ apne qātil ke
tujhe mushkil-kushā samjhūñ na kyuuñ kar ai mere 'vāris'
tere hāthoñ se hal hote haiñ uqde merī mushkil ke
ġham-o-rañj-o-alam kā sāmnā 'aughat' na kyuuñ kar ho
ki rāh-e-ishq meñ ye marhale haiñ pahlī manzil ke
karen aah-o-fughan phoDen-phaphole is tarah dil ke
irada hai ki roen id ke din bhi gale mil ke
tamashe dekhte hain aaj-kal wo raqs-e-bismil ke
sune hum ne bhi ghairon se ye qisse un ki mahfil ke
kahani mein tasalsul hai na mauzun hai koi qissa
fasane bhi pareshan hain hamare muztarib dil ke
karen kya ghair se takrar wo na-ahl-o-nadan hai
jo aaqil hain wa munh lagte nahin be-maghz-o-jahil ke
jagah rone ki hai madhosh pa kar bagh-e-alam mein
meri ghaflat pe ye ghunche bhi ab hanste hain khil khil ke
pareshan kyun na ho dukhta hua dil sair-e-gulshan se
ki ahl-e-dard sun sakte nahin nale anadil ke
ye bola dekh kar aaina mujh se wo mera KHud-bin
kaho KHush-ru jahan mein aur hain mere muqabil ke
bulaya pahle maqtal mein kiya hai zabh KHud mujh ko
qayamat tak na bhulunga ye ehsan apne qatil ke
tujhe mushkil-kusha samjhun na kyun kar ai mere 'waris'
tere hathon se hal hote hain uqde meri mushkil ke
gham-o-ranj-o-alam ka samna 'aughat' na kyun kar ho
ki rah-e-ishq mein ye marhale hain pahli manzil ke
- Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 9)
- Author : Aughat Shah Warsi
- Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.