samne us turk ke dil rakh diya sar rakh diya
sāmne us turk ke dil rakh diyā sar rakh diyā
paas thā maujūd jo kuchh ham ne lā kar rakh diyā
gardaneñ shauq-e-shahādat meñ jhukī haiñ saiñkaḌoñ
nīmcha kyuuñ haath se tark-e-sitamgar rakh diyā
chāñd sī peshānī sindūr kā Tiikā nahīñ
bām-e-ka.aba par charāġh is ne jalā kar rakh diyā
ḳhāmushī bhī hai dalīl-e-kāmyābī nāma-bar
ġham nahīñ gar nāma-e-shauq us ne paḌh kar rakh diyā
vasl meñ jhagḌā bakheḌā rāt-bhar un se rahā
saahī kā kāñTā adū ne zer-e-bistar rakh diyā
jab kahā mujh sā hasīñ duniyā meñ ab koī nahīñ
muskurā kar ham ne ā.īna barābar rakh diyā
apne dil meñ yaar ne dushman ko phir kyuuñ dī jagah
kyā ġhazab hai but ko phir ka.aba ke andar rakh diyā
ek pahlū meñ jigar hai dūsre pahlū meñ dil
teġh-o-ḳhanjar ke liye hissa barābar rakh diyā
ġhash jo aayā daulat-e-pā-bos-e-jānāñ mil ga.ī
girte girte maiñ ne pā-e-yār par sar rakh diyā
nāzuk-e-bedād se kab chashm-poshī ham ne kī
ḳhūn-e-dil laḳht-e-jigar jo thā mayassar rakh diyā
mujh ko 'kausar' pyaar se is ne gale lipTā liyā
ho ke jab betāb maiñ ne paañv sar par rakh diyā
samne us turk ke dil rakh diya sar rakh diya
pas tha maujud jo kuchh hum ne la kar rakh diya
gardanen shauq-e-shahadat mein jhuki hain sainkaDon
nimcha kyun hath se tark-e-sitamgar rakh diya
chand si peshani sindur ka Tika nahin
baam-e-kaba par charagh is ne jala kar rakh diya
KHamushi bhi hai dalil-e-kaamyabi nama-bar
gham nahin gar nama-e-shauq us ne paDh kar rakh diya
wasl mein jhagDa bakheDa raat-bhar un se raha
sahi ka kanTa adu ne zer-e-bistar rakh diya
jab kaha mujh sa hasin duniya mein ab koi nahin
muskura kar hum ne aaina barabar rakh diya
apne dil mein yar ne dushman ko phir kyun di jagah
kya ghazab hai but ko phir kaba ke andar rakh diya
ek pahlu mein jigar hai dusre pahlu mein dil
tegh-o-KHanjar ke liye hissa barabar rakh diya
ghash jo aaya daulat-e-pa-bos-e-jaanan mil gai
girte girte main ne pa-e-yar par sar rakh diya
nazuk-e-bedad se kab chashm-poshi hum ne ki
KHun-e-dil laKHt-e-jigar jo tha mayassar rakh diya
mujh ko 'kausar' pyar se is ne gale lipTa liya
ho ke jab betab main ne panw sar par rakh diya
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 81)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : 2nd Edition
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.