zindagi thi ek habab aur usko kya samjha tha main
zindagī thī ik habāb aur us ko kyā samjhā thā maiñ
haañ hayāt-e-jāvedānī se sivā samjhā thā maiñ
koī samjhā.e ki āḳhir kyā burā samjhā thā maiñ
un kī laġhzish ko agar apnī ḳhatā samjhā thā maiñ
sādgī kahiye use merī ki husn-e-ittifāq
the vahī qātil jinheñ dard-āshnā samjhā thā maiñ
kuchh ajab māhaul thā merī shab-e-andoh kā
qutub kī āvāz ko terī sadā samjhā thā maiñ
dard-e-dil ko maiñ burā kahtā ye mumkin hī na thā
dard-e-dil ko bhī tumhārī hī atā samjhā thā maiñ
ġhaur se dekhā to paayā us ko shah-e-rag ke qarīb
apnī hī kotāh-bīnī se judā samjhā thā maiñ
sajda-gāh-e-qudsiyāñ sad sajda-gāh-e-ins-o-jin
husn meñ jalva usī kā hai bajā samjhā thā maiñ
ye ġhalat-fahmī na thī to aur phir kyā chiiz thī
ibtidā-e-ishq ko bhī intihā samjhā thā maiñ
zindagī ke saath haiñ betāb saarī kulfateñ
kyā ġhalat thā dard-e-dil ko lā-davā samjhā thā maiñ
zindagi thi ek habab aur us ko kya samjha tha main
han hayat-e-jawedani se siwa samjha tha main
koi samjhae ki aaKHir kya bura samjha tha main
un ki laghzish ko agar apni KHata samjha tha main
sadgi kahiye use meri ki husn-e-ittifaq
the wahi qatil jinhen dard-ashna samjha tha main
kuchh ajab mahaul tha meri shab-e-andoh ka
qutub ki aawaz ko teri sada samjha tha main
dard-e-dil ko main bura kahta ye mumkin hi na tha
dard-e-dil ko bhi tumhaari hi ata samjha tha main
ghaur se dekha to paya us ko shah-e-rag ke qarib
apni hi kotah-bini se juda samjha tha main
sajda-gah-e-qudsiyan sad sajda-gah-e-ins-o-jin
husn mein jalwa usi ka hai baja samjha tha main
ye ghalat-fahmi na thi to aur phir kya chiz thi
ibtida-e-ishq ko bhi intiha samjha tha main
zindagi ke sath hain betab sari kulfaten
kya ghalat tha dard-e-dil ko la-dawa samjha tha main
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.III (Pg. 82)
- Author : Irfan Abbasi
- Publication : ` (1983)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.