dil mein pinhan ek tufan-e-sharar rakhta hun main
dil meñ pinhāñ ek tūfān-e-sharar rakhtā huuñ maiñ
bijliyoñ kā apnī aahoñ meñ asar rakhtā huuñ maiñ
saarī duniyā se judā zauq-e-nazar rakhtā huuñ maiñ
ya.anī ḳhud husn-e-azal ko rāhbar rakhtā huuñ maiñ
be-ḳhudī ke saath dil meñ shān-e-ḳhuddārī bhī hai
be-ḳhabar rahte hue apnī ḳhabar rakhtā huuñ maiñ
umr bhar sadmāt-e-hijrāñ se rahā huuñ ham-kanār
ġhāliban siine meñ patthar kā jigar rakhtā huuñ maiñ
kyā batā.ūñ hai kahāñ tak merī parvāz-e-ḳhayāl
arsh se bhī kuchh parai apnī nazar rakhtā huuñ maiñ
ishq kī daulat ba-qadr-e-zarf hāsil hai mujhe mujhe
koī kah saktā nahīñ sat.hī nazar rakhtā huuñ maiñ
ek a.alam se judā hai merā andāz-e-junūñ
bārgāh-e-dost ke zarroñ pe sar rakhtā huuñ maiñ
yaad ko un kī banā rakhā hai maiñ ne rahnumā
apne dil ke saath sham-e-rah-guzar rakhtā huuñ maiñ
chāñd ke jalvoñ se ai 'betāb' go mahrūm huuñ
apne pahlū meñ nihāñ dāġh-e-jigar rakhtā huuñ maiñ
dil mein pinhan ek tufan-e-sharar rakhta hun main
bijliyon ka apni aahon mein asar rakhta hun main
sari duniya se juda zauq-e-nazar rakhta hun main
yani KHud husn-e-azal ko rahbar rakhta hun main
be-KHudi ke sath dil mein shan-e-KHuddari bhi hai
be-KHabar rahte hue apni KHabar rakhta hun main
umr bhar sadmat-e-hijran se raha hun ham-kanar
ghaaliban sine mein patthar ka jigar rakhta hun main
kya bataun hai kahan tak meri parwaz-e-KHayal
arsh se bhi kuchh parai apni nazar rakhta hun main
ishq ki daulat ba-qadr-e-zarf hasil hai mujhe mujhe
koi kah sakta nahin sathi nazar rakhta hun main
ek aalam se juda hai mera andaz-e-junun
bargah-e-dost ke zarron pe sar rakhta hun main
yaad ko un ki bana rakha hai main ne rahnuma
apne dil ke sath sham-e-rah-guzar rakhta hun main
chand ke jalwon se ai 'betab' go mahrum hun
apne pahlu mein nihan dagh-e-jigar rakhta hun main
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.III (Pg. 82)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.