mujhe jam-e-ulfat yar ne jo pila diya kai bar hai
mujhe jām-e-ulfat yaar ne jo pilā diyā ka.ī baar hai
so ye āñkhoñ meñ mirī ab talak ba-ḳhudā usī kā ḳhumār hai
jo sabā kare to udhar guzar to ye kahiyo un se mirī ḳhabar
ġham-e-hijr ne tire ai sanam kiyā kaisā zār-o-nazār hai
tire 'ishq meñ jo huā sanam nahīñ us kā shikva kareñge ham
chāho jis tarah karo ḳhaar tum ba-ḳhudā mujhe nahīñ aar hai
mirī jaan jaa.e to ġham nahīñ magar itnā kahte haiñ ai sanam
na phireñge 'ishq se tere ham mirā dil to tujh pe nisār hai
mujhe ḳhauf-e-hashr 'ḳhalīl' kyā ki haiñ shāh-e-ḳhādim-e-peshvā
koī maane yā ki na maane haañ mire dil ko is pe qarār hai
mujhe jam-e-ulfat yar ne jo pila diya kai bar hai
so ye aankhon mein meri ab talak ba-KHuda usi ka KHumar hai
jo saba kare to udhar guzar to ye kahiyo un se meri KHabar
gham-e-hijr ne tere ai sanam kiya kaisa zar-o-nazar hai
tere 'ishq mein jo hua sanam nahin us ka shikwa karenge hum
chaho jis tarah karo KHar tum ba-KHuda mujhe nahin aar hai
meri jaan jae to gham nahin magar itna kahte hain ai sanam
na phirenge 'ishq se tere hum mera dil to tujh pe nisar hai
mujhe KHauf-e-hashr 'KHalil' kya ki hain shah-e-KHadim-e-peshwa
koi mane ya ki na mane han mere dil ko is pe qarar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.