ai shoKH abas tu KHwahan hai dil-e-shaida ke phans jaane ko
ai shoKH abas tu KHwahan hai dil-e-shaida ke phans jaane ko
Khalil Safipuri
MORE BYKhalil Safipuri
ai shoḳh 'abas tū ḳhvāhāñ hai dil-e-shaidā ke phañs jaane ko
kaafī hai tirī zulf-e-dotā 'āshiq ke dil uljhāne ko
jo ka.aba-o-dair na pahchāne aur apnā ġhair nahīñ jaane
samjhātā hai nāseh phir kyuuñ tū aise ab dīvāne ko
rāhat se nahīñ kuchh kaam hameñ aur ġham kā khaTkā kuchh bhī nahīñ
'āshiq to barābar jaane haiñ us jiine aur mar jaane ko
phuslātā hai zāhid ham ko kyuuñ jannat kī har ne'amat se
ham sab se behtar jaane haiñ us ḳhūn-e-jigar ke khāne ko
apnā to 'ḳhalīl' islām yahī kuchh aur kisī se kaam nahīñ
ham haq kā milnā jaane haiñ shah-e-ḳhādim ke mil jaane ko
ai shoKH 'abas tu KHwahan hai dil-e-shaida ke phans jaane ko
kafi hai teri zulf-e-dota 'ashiq ke dil uljhane ko
jo kaba-o-dair na pahchane aur apna ghair nahin jaane
samjhata hai naseh phir kyun tu aise ab diwane ko
rahat se nahin kuchh kaam hamein aur gham ka khaTka kuchh bhi nahin
'ashiq to barabar jaane hain us jine aur mar jaane ko
phuslata hai zahid hum ko kyun jannat ki har ne'amat se
hum sab se behtar jaane hain us KHun-e-jigar ke khane ko
apna to 'KHalil' islam yahi kuchh aur kisi se kaam nahin
hum haq ka milna jaane hain shah-e-KHadim ke mil jaane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.