khinchi hai shamshir-e-naz qatil chale hain mushtaq-e-marg ghar se
khinchi hai shamshir-e-naz qatil chale hain mushtaq-e-marg ghar se
Ahqar Bihari
MORE BYAhqar Bihari
khiñchī hai shamshīr-e-nāz qātil chale haiñ mushtāq-e-marg ghar se
kafan lapeTe hue kamar se koī idhar se koī udhar se
vo gul-e-badan jaañ hai chaman kī ye jāntā huuñ maiñ peshtar se
hañsā to kaliyāñ chaTak ke niklīñ kiyā takallum to phuul barse
dikhā.iye aaj rū-e-zebā uThā.iye darmiyāñ se parda
kahāñ se ab intizār-e-fardā yahī to sunte haiñ umr-bhar se
jafā-e-mashūq kā gila kyā sa.ūbat-e-dasht-e-karblā kyā
qadam bhī haTte haiñ āshiqoñ ke agar barastī hai aag barse
dikhā.ūñ ashkoñ kī gar ravānī ghaTā ho ġhairat se pānī-pānī
abhī khule hāl-e-lantrānī haTā.ūñ dāman jo chashm-e-tar se
na be-qarārī kā Dhañg aayā na ashk par ḳhuuñ kā rañg aayā
chamak ke bijlī hazār taḌpī garaj ke bādal hazār barse
idhar se chilman haTā ke jhāñkā udhar se parda haTā ke dekhā
lagāyā zālim ne tiir ham par kabhī idhar se kabhī udhar se
khinchi hai shamshir-e-naz qatil chale hain mushtaq-e-marg ghar se
kafan lapeTe hue kamar se koi idhar se koi udhar se
wo gul-e-badan jaan hai chaman ki ye jaanta hun main peshtar se
hansa to kaliyan chaTak ke niklin kiya takallum to phul barse
dikhaiye aaj ru-e-zeba uThaiye darmiyan se parda
kahan se ab intizar-e-farda yahi to sunte hain umr-bhar se
jafa-e-mashuq ka gila kya saubat-e-dasht-e-karbla kya
qadam bhi haTte hain aashiqon ke agar barasti hai aag barse
dikhaun ashkon ki gar rawani ghaTa ho ghairat se pani-pani
abhi khule haal-e-lantrani haTaun daman jo chashm-e-tar se
na be-qarari ka Dhang aaya na ashk par KHun ka rang aaya
chamak ke bijli hazar taDpi garaj ke baadal hazar barse
idhar se chilman haTa ke jhanka udhar se parda haTa ke dekha
lagaya zalim ne tir hum par kabhi idhar se kabhi udhar se
- Book : Bihar Men Urdu Ki Sufiyana Shairi (Pg. 179)
- Author : Mohammad Tayyab Abdali
- Publication : Israr Karimi Press, Allahabad (1988)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.