zeb-e-zamin nahin ki tu zinat-e-asman nahin
zeb-e-zamin nahin ki tu zinat-e-asman nahin
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
zeb-e-zamīñ nahīñ ki tū zīnat-e-āsmāñ nahīñ
aañkh agar nasīb ho jalva tirā kahāñ nahīñ
kahtā huuñ laakh dard-e-dil hotā magar bayāñ nahīñ
aisī zabāñ zabāñ hai kyā dil kī jo tarjumāñ nahīñ
'ishq kī zarb al-amāñ zaḳhm nahīñ nishāñ nahīñ
husn kā bismil ik jahāñ tiir nahīñ kamāñ nahīñ
ahl-e-nazar to saikḌoñ sāhib-e-dil nahīñ koī
husn ke qadr-dāñ bahut 'ishq kā qadr-dāñ nahīñ
apne maqām-e-’ishq kā haaye kahūñ maiñ haal kyā
ġham to yahāñ hazār-hā fursat-e-yak fuġhāñ nahīñ
jazb meñ jab maiñ aa gayā paas hī tujh ko pā gayā
phirtā rahā sulūk meñ jāneñ kahāñ kahāñ nahīñ
jazb meñ kyā bahār hai dil hai jalva-zār hai
maiñ huuñ aur ik nigār hai hosh bhī darmiyāñ nahīñ
zeb-e-zamin nahin ki tu zinat-e-asman nahin
aankh agar nasib ho jalwa tera kahan nahin
kahta hun lakh dard-e-dil hota magar bayan nahin
aisi zaban zaban hai kya dil ki jo tarjuman nahin
'ishq ki zarb al-aman zaKHm nahin nishan nahin
husn ka bismil ek jahan tir nahin kaman nahin
ahl-e-nazar to saikDon sahib-e-dil nahin koi
husn ke qadr-dan bahut 'ishq ka qadr-dan nahin
apne maqam-e-’ishq ka haye kahun main haal kya
gham to yahan hazar-ha fursat-e-yak fughan nahin
jazb mein jab main aa gaya pas hi tujh ko pa gaya
phirta raha suluk mein jaanen kahan kahan nahin
jazb mein kya bahaar hai dil hai jalwa-zar hai
main hun aur ek nigar hai hosh bhi darmiyan nahin
- Book : Gufta-e-Majzoob (Pg. 109)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.