Sufinama

nigah-e-aqriba badli mizaj-e-dostan badla

Khwaja Azizul Hasan Majzoob

nigah-e-aqriba badli mizaj-e-dostan badla

Khwaja Azizul Hasan Majzoob

MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob

    nigāh-e-aqribā badlī mizāj-e-dostāñ badlā

    nazar ik un kyā badlī ki mujh se kul jahāñ badlā

    chaman rañg go tuune sarāsar ai ḳhizāñ badlā

    na ham ne shāḳh-e-gul chhoḌī na ham ne āshiyāñ badlā

    tarīq-e-'ishq meñ go kārvāñ par kārvāñ badle

    na ham ne rahguzar badlī na mīr-e-kārvāñ badlā

    karūñ kyā dil hai bā-sad zohd-o-taqvā mā.il-e-rindī

    jibillat kyā badal saktī 'amal ko apne haañ badlā

    kabhī ham kah sake hamdam na khul kar hāl-e-dil un se

    ki har lafz apnā sau baar aate aate tā-zabāñ badlā

    are tauba koī had hai bhalā is bad-gumānī

    zarā maiñ paas baiThā ki us ne pāsbāñ badlā

    bahut go 'ishq meñ 'majzūb' badlā tum ne haal apnā

    magar jaisā badalnā chāhiye vaisā kahāñ badlā

    nigah-e-aqriba badli mizaj-e-dostan badla

    nazar ek un ki kya badli ki mujh se kul jahan badla

    chaman ka rang go tune sarasar ai KHizan badla

    na hum ne shaKH-e-gul chhoDi na hum ne aashiyan badla

    tariq-e-'ishq mein go karwan par karwan badle

    na hum ne rahguzar badli na mir-e-karwan badla

    karun kya dil hai ba-sad zohd-o-taqwa mail-e-rindi

    jibillat kya badal sakti 'amal ko apne han badla

    kabhi hum kah sake hamdam na khul kar haal-e-dil un se

    ki har lafz apna sau bar aate aate ta-zaban badla

    are tauba koi had hai bhala is bad-gumani ki

    zara main pas ja baiTha ki us ne pasban badla

    bahut go 'ishq mein 'majzub' badla tum ne haal apna

    magar jaisa badalna chahiye waisa kahan badla

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now