wo pahle gham diya karte hain phir masrur karte hain
wo pahle gham diya karte hain phir masrur karte hain
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
vo pahle ġham diyā karte haiñ phir masrūr karte haiñ
tasallī ham tirī ai ḳhātir-e-ranjūr karte haiñ
nahīñ hotā nahīñ hotā kisī 'unvān ġham halkā
bahut tadbīr taskīn-e-dil-e-ranjūr karte haiñ
'ajab sarkār hai un kī sitam hī meñ karam dekhā
vahī maqbūl hotā hai jise maqhūr karte haiñ
mazā aatā hai un ko chheḌne meñ apne 'āshiq ke
kabhī maġhmūm karte haiñ kabhī masrūr karte haiñ
kisī ke naaz uThā.eñ ye to ham se ho nahīñ saktā
magar manzūr hai vo kaam jo mazdūr karte haiñ
adā se dekh lete haiñ maiñ jab jaane ko kahtā huuñ
phir us par kahte haiñ ham kab tumheñ majbūr karte haiñ
vo yaad aa aa ke taḌpāte haiñ barsoñ haaye phir kyā kyā
jo dam bhar ke liye aakar kabhī masrūr karte haiñ
wo pahle gham diya karte hain phir masrur karte hain
tasalli hum teri ai KHatir-e-ranjur karte hain
nahin hota nahin hota kisi 'unwan gham halka
bahut tadbir taskin-e-dil-e-ranjur karte hain
'ajab sarkar hai un ki sitam hi mein karam dekha
wahi maqbul hota hai jise maqhur karte hain
maza aata hai un ko chheDne mein apne 'ashiq ke
kabhi maghmum karte hain kabhi masrur karte hain
kisi ke naz uThaen ye to hum se ho nahin sakta
magar manzur hai wo kaam jo mazdur karte hain
ada se dekh lete hain main jab jaane ko kahta hun
phir us par kahte hain hum kab tumhein majbur karte hain
wo yaad aa aa ke taDpate hain barson haye phir kya kya
jo dam bhar ke liye aakar kabhi masrur karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.