kahta hua phirta hai mahshar mein ye diwana
kahta hua phirta hai mahshar mein ye diwana
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
kahtā huā phirtā hai mahshar meñ ye dīvāna
yārab mirā vīrāna yārab mirā vīrāna
jī meñ hai chaḌhā jā.ūñ mai-ḳhāna kā mai-ḳhāna
haañ sāqī-e-dariyā-dil paimāne pe paimāna
dikhlā de kashish itnī ai jalva-e-jānāna
gulshan meñ rahe bulbul mahfil meñ na parvāna
'āshiq to hai ai zāhid har vaqt 'ibādat meñ
ashkoñ kā tasalsul hai ik sub.ha-e-sad-dāna
āñkheñ mirī hotī haiñ ab band hamesha ko
haañ ek jhalak ab to ai jalva-e-jānāna
itnī to pilā saaqī ab is se bhī kyā kam ho
labrez to ho jaa.e ye 'umr kā mai-ḳhāna
saaqī ne badal Daalī duniyā mirī hastī kī
āñkheñ haiñ ki mai-ḳhāne dil hai ki parī-ḳhāna
dīvāna bane un kā ye zarf na ye himmat
'majzūb' to hai un ke dīvānoñ kā dīvāna
kahta hua phirta hai mahshar mein ye diwana
yarab mera virana yarab mera virana
ji mein hai chaDha jaun mai-KHana ka mai-KHana
han saqi-e-dariya-dil paimane pe paimana
dikhla de kashish itni ai jalwa-e-jaanana
gulshan mein rahe bulbul mahfil mein na parwana
'ashiq to hai ai zahid har waqt 'ibaadat mein
ashkon ka tasalsul hai ek subha-e-sad-dana
aankhen meri hoti hain ab band hamesha ko
han ek jhalak ab to ai jalwa-e-jaanana
itni to pila saqi ab is se bhi kya kam ho
labrez to ho jae ye 'umr ka mai-KHana
saqi ne badal Dali duniya meri hasti ki
aankhen hain ki mai-KHane dil hai ki pari-KHana
diwana bane un ka ye zarf na ye himmat
'majzub' to hai un ke diwanon ka diwana
- Book : Gufta (Pg. 120)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.