kitāb-e-zindagī ke surḳh afsāne bhī badleñge
bahāreñ phuul barsā.eñgī vīrāne bhī badleñge
kabhī to faisla hogā man-o-tū ke mabāhis kā
haram vaale to badle haiñ sanam-ḳhāne bhī badleñge
abhī to chāk-dāmāñ haiñ chuneñge ek din tinke
junūñ had se guzarne do ye dīvāne bhī badleñge
qarā.in kah rahe haiñ inqalāb ik aur aa.egā
shikasta jhoñpaḌe badle haiñ kāshāne bhī badleñge
dikhā.e jaa.eñ ThanDī garmiyāñ daulat ke matvāle
lagī to jab bujhegī jab ye ḳhas-ḳhāne bhī badleñge
mujhe shikvā nahii. saaqī tirī is kam-nigāhī kā
agar mai-ḳhvār badle haiñ to maiḳhāne bhī badleñge
nahīñ ma.alūm sham-e-anjuman kā hashr kyā hogā
ravish apnī agar mahfil meñ parvāne bhī badleñge
samajhte haiñ hamārā ḳhuun 'aslam' rañg lā.egā
agar unvān badle haiñ to afsāne bhī badleñge
kitab-e-zindagi ke surKH afsane bhi badlenge
bahaaren phul barsaengi virane bhi badlenge
kabhi to faisla hoga man-o-tu ke mabahis ka
haram wale to badle hain sanam-KHane bhi badlenge
abhi to chaak-daman hain chunenge ek din tinke
junun had se guzarne do ye diwane bhi badlenge
qarain kah rahe hain inqalab ek aur aaega
shikasta jhonpaDe badle hain kashane bhi badlenge
dikhae jaen ThanDi garmiyan daulat ke matwale
lagi to jab bujhegi jab ye KHas-KHane bhi badlenge
mujhe shikwa nahi saqi teri is kam-nigahi ka
agar mai-KHwar badle hain to maiKHane bhi badlenge
nahin malum sham-e-anjuman ka hashr kya hoga
rawish apni agar mahfil mein parwane bhi badlenge
samajhte hain hamara KHun 'aslam' rang laega
agar unwan badle hain to afsane bhi badlenge
Source :
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 47)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.