koi hasti yahan meri sharik-e-gham nahin hoti
koī hastī yahāñ merī sharīk-e-ġham nahīñ hotī
vo ek terī nazar hai jo kabhī barham nahīñ hotī
nahīñ aatī kisī ko maut duniyā-e-mohabbat meñ
charāġh-e-zindagī kī lau yahāñ maddham nahīñ hotī
ummīdeñ TuuT jaatī haiñ sahāre chhūT jaate haiñ
magar terī mohabbat kī tamannā kam nahīñ hotī
nahīñ hotī vafā kī manzileñ āsāñ kabhī us par
mohabbat meñ jo hastī āshnā-e-ġham nahīñ hotī
mere soz-e-darūñ ne aañkh meñ aañsū nahīñ chhoḌe
jahāñ sho.ale bhaḌakte hoñ vahāñ shabnam nahīñ hotī
hameñ duniyā se umīd-e-vafā ho kis liye āḳhir
ye duniyā to kisī kī bhī sharīk-e-ġham nahīñ hotī
ma.āl-e-kār bhī ma.alūm hai jab mujh ko hastī kā
ilāhī ārzū-e-zindagī kyuuñ kam nahīñ hotī
kahāñ hotī hai merāj-e-niyāz-e-bandagī us ko
tare dar par jabīn-e-shauq jas kī ḳham nahīñ hotī
surūr-e-bada-o-irfāñ kabhī hāsil nahīñ hotī
nigāh-e-sāqi-e-mahfil agar paiham nahīñ hotī
guzar jā.ūñgā maiñ hastī kī har dushvār manzil se
kisī darvesh kī nisbat bhī 'sādiq' kam nahīñ hotī
koi hasti yahan meri sharik-e-gham nahin hoti
wo ek teri nazar hai jo kabhi barham nahin hoti
nahin aati kisi ko maut duniya-e-mohabbat mein
charagh-e-zindagi ki lau yahan maddham nahin hoti
ummiden TuT jati hain sahaare chhuT jate hain
magar teri mohabbat ki tamanna kam nahin hoti
nahin hoti wafa ki manzilen aasan kabhi us par
mohabbat mein jo hasti aashna-e-gham nahin hoti
mere soz-e-darun ne aankh mein aansu nahin chhoDe
jahan shoale bhaDakte hon wahan shabnam nahin hoti
hamein duniya se umid-e-wafa ho kis liye aaKHir
ye duniya to kisi ki bhi sharik-e-gham nahin hoti
maal-e-kar bhi malum hai jab mujh ko hasti ka
ilahi aarzu-e-zindagi kyun kam nahin hoti
kahan hoti hai meraj-e-niyaz-e-bandagi us ko
tare dar par jabin-e-shauq jas ki KHam nahin hoti
surur-e-bada-o-irfan kabhi hasil nahin hoti
nigah-e-saqi-e-mahfil agar paiham nahin hoti
guzar jaunga main hasti ki har dushwar manzil se
kisi darwesh ki nisbat bhi 'sadiq' kam nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.