zara aahista le chal karwan-e-sher hafiz ko
zarā āhista le chal kārvān-e-she'r 'hāfiz' ko
ki sat.h-e-zehn-e-shāgirdān-e-nāhamvār hai saaqī
paḌheñ vo is tarah ki yaad rakkheñ bāda-o-sāġhar
tasavvuf kī zabāñ meñ ye sabhī mai-ḳhvār haiñ saaqī
dikhā de ik jhalak un ko bhī apne daur-e-māzī kī
oh bujhtī sham.eñ ab bhī mamba'-e-anvār haiñ saaqī
yahī kal zālimoñ ke dar-e-ḳhaibar ko uThā.eñge
tumheñ mā'lūm kyā ye haidar-e-karrār haiñ saaqī
bahak jaate haiñ ’ālim bhī hamesha dars dene meñ
magar ye dard bhī to qābil-e-iz.hār haiñ saaqī
zara aahista le chal karwan-e-she'r 'hafiz' ko
ki sath-e-zehn-e-shagirdan-e-nahamwar hai saqi
paDhen wo is tarah ki yaad rakkhen baada-o-saghar
tasawwuf ki zaban mein ye sabhi mai-KHwar hain saqi
dikha de ek jhalak un ko bhi apne daur-e-mazi ki
oh bujhti shamen ab bhi mamba'-e-anwar hain saqi
yahi kal zalimon ke dar-e-KHaibar ko uThaenge
tumhein ma'lum kya ye haidar-e-karrar hain saqi
bahak jate hain ’alim bhi hamesha dars dene mein
magar ye dard bhi to qabil-e-izhaar hain saqi
- Book : Mata-e-Haque
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.