dil-e-be-qarar ki marifat baDi ehtiyat ka kaam hai

dil-e-be-qarar ki marifat baDi ehtiyat ka kaam hai
Azmat Hussain Khan
MORE BYAzmat Hussain Khan
dil-e-be-qarār kī ma.arifat baḌī ehtiyāt kā kaam hai
yahī un kī ḳhalvat-e-nāz hai yahī dūsroñ kā maqām hai
maiñ kHarāb-e-bāda-e-’ishq huuñ merā dil hī ab merā jaam hai
hai har ek tarh kī us meñ mai mirā shaġhl shurb-e-mudām hai
vo hazār rañg se jalva-gar haiñ kabhī yahāñ to kabhī vahāñ
unheñ ḳhud-numā.ī kā shauq hai merī justujū kā to naam hai
na dil-o-nigāh pe merā bas na ḳhayāl par merī dastaras
kabhī vo hī vo kabhī maiñ hī maiñ ye baḌā 'ajīb maqām hai
lab-e-shikva bhī na hilā sakūñ unheñ hāl-e-ġham na sunā sakūñ
jise maut kahte haiñ 'ishq meñ usī be-kasī kā to naam hai
ye to 'mai-kash' ek fareb hai nahīñ mai-kade meñ ye sarḳhushī
tū nigāh apne hī dil pe rakh yahī baada hai yahī jaam hai
dil-e-be-qarar ki marifat baDi ehtiyat ka kaam hai
yahi un ki KHalwat-e-naz hai yahi dusron ka maqam hai
main kHarab-e-baada-e-’ishq hun mera dil hi ab mera jam hai
hai har ek tarh ki us mein mai mera shaghl shurb-e-mudam hai
wo hazar rang se jalwa-gar hain kabhi yahan to kabhi wahan
unhen KHud-numai ka shauq hai meri justuju ka to nam hai
na dil-o-nigah pe mera bas na KHayal par meri dastaras
kabhi wo hi wo kabhi main hi main ye baDa 'ajib maqam hai
lab-e-shikwa bhi na hila sakun unhen haal-e-gham na suna sakun
jise maut kahte hain 'ishq mein usi be-kasi ka to nam hai
ye to 'mai-kash' ek fareb hai nahin mai-kade mein ye sarKHushi
tu nigah apne hi dil pe rakh yahi baada hai yahi jam hai
- Book : Arsh-e-Mohabbat (Pg. 29)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.