ghani hai dil do-alam se faraghat usko kahte hain
ġhanī hai dil do-ālam se farāġhat us ko kahte haiñ
hai yād-e-haq faqat dil meñ qanā.at us ko kahte haiñ
milāyā jazba-e-dil ne is adnā meñ us a.alā ko
jise paanā hai bas mushkil karāmat us ko kahte haiñ
banāyā jab ki aadam ko kiyā dam apnā dam us meñ
batāyā rāz-e-dil saarā ḳhilāfat us ko kahte haiñ
mere chehre pe jab aks-e-ruḳh-e-pur-nūr paḌtā hai
pata rahtā nahīñ merā sarāyat us ko kahte haiñ
visāl-e-lam-yazal ne kar diyā be-hirs-o-be-hamatā
chhuTe ḳhud se aur aalam se farāġhat us ko kahte haiñ
tan-o-jāñ sab unhīñ kā hai nisār un par kareñ kyā ham
mohabbat ne kiyā yaktā vilāyat us ko kahte haiñ
ghani hai dil do-alam se faraghat us ko kahte hain
hai yaad-e-haq faqat dil mein qanaat us ko kahte hain
milaya jazba-e-dil ne is adna mein us aala ko
jise pana hai bas mushkil karamat us ko kahte hain
banaya jab ki aadam ko kiya dam apna dam us mein
bataya raaz-e-dil sara KHilafat us ko kahte hain
mere chehre pe jab aks-e-ruKH-e-pur-nur paDta hai
pata rahta nahin mera sarayat us ko kahte hain
visal-e-lam-yazal ne kar diya be-hirs-o-be-hamata
chhuTe KHud se aur aalam se faraghat us ko kahte hain
tan-o-jaan sab unhin ka hai nisar un par karen kya hum
mohabbat ne kiya yakta wilayat us ko kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.