qahr-e-haalat se yun KHud ko bachae rakhiye
qahr-e-hālāt se yuuñ ḳhud ko bachā.e rakhiye
āsmāñ vaale se ummīd lagā.e rakhiye
jis ke jalvoñ se mah-o-mehr meñ tābānī hai
us kī yādoñ kā diyā dil meñ jalā.e rakhiye
maar Daale na mujhe jaur-o-sitam kā sūraj
dāman-e-lutf-o-'ināyat meñ chhupā.e rakhiye
har ghaḌī mere tasavvur meñ hai ik paikar-e-nūr
duur hī mujh se ye zulmāt ke saa.e rakhiye
dīn-o-īmāñ ke luTere haiñ yahāñ har jānib
un se har haal meñ apne ko bachā.e rakhiye
aap ke dil meñ hai armān agar ḳhushbū kā
phuul har samt mohabbat ke khilā.e rakhiye
yuuñ na giriye ki hamesha ko nazar jhuk jaa.e
aisā giriye ki nazar apnī uThā.e rakhiye
jin se har lahza milā kartī hai ḳhushbu-e-vafā
kyuuñ na aisoñ ko kaleje se lagā.e rakhiye
yuuñ lage ġham kā hai ehsās vajūd-e-bātil
shādmānī kā vo māhaul banā.e rakhiye
dil kī vīrān havelī meñ sar-e-shām firāq
kHvāb-e-ā.inda kī qindīl jalā.e rakhiye
qahr-e-haalat se yun KHud ko bachae rakhiye
aasman wale se ummid lagae rakhiye
jis ke jalwon se mah-o-mehr mein tabani hai
us ki yaadon ka diya dil mein jalae rakhiye
mar Dale na mujhe jaur-o-sitam ka suraj
daman-e-lutf-o-'inayat mein chhupae rakhiye
har ghaDi mere tasawwur mein hai ek paikar-e-nur
dur hi mujh se ye zulmat ke sae rakhiye
din-o-iman ke luTere hain yahan har jaanib
un se har haal mein apne ko bachae rakhiye
aap ke dil mein hai arman agar KHushbu ka
phul har samt mohabbat ke khilae rakhiye
yun na giriye ki hamesha ko nazar jhuk jae
aisa giriye ki nazar apni uThae rakhiye
jin se har lahza mila karti hai KHushbu-e-wafa
kyun na aison ko kaleje se lagae rakhiye
yun lage gham ka hai ehsas wajud-e-baatil
shadmani ka wo mahaul banae rakhiye
dil ki viran haweli mein sar-e-sham firaq
kHwab-e-ainda ki qindil jalae rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.