yun badalne ko duniya badalti rahi
yuuñ badalne ko duniyā badaltī rahī
maiñ tire rāste hī pe chaltī rahī
chāñd niklā sitāre bhī chamkā kiye
ek maiñ ġham meñ karvaT badaltī rahī
sozish-e-ġham se fursat milī kab mujhe
thā muqaddar meñ jalnā so jaltī rahī
mausam-e-hijr thā jo na badlā kabhī
yuuñ badalne ko har rut badaltī rahī
rū-ba-rū mere ye hādisa bhī huā
har haqīqat fasāne meñ Dhaltī rahī
kyuuñ banī jān-levā mirī har adā
terī har baat kyuuñ dil ko khaltī rahī
tujh ko paane kī hasrat meñ ai zindagī
umr bhar sūrat-e-sham.a jaltī rahī
monis-e-shām-e-hijrāñ thā terā hī ġham
jān-e-jāñ maiñ usī se bahaltī rahī
yun badalne ko duniya badalti rahi
main tere raste hi pe chalti rahi
chand nikla sitare bhi chamka kiye
ek main gham mein karwaT badalti rahi
sozish-e-gham se fursat mili kab mujhe
tha muqaddar mein jalna so jalti rahi
mausam-e-hijr tha jo na badla kabhi
yun badalne ko har rut badalti rahi
ru-ba-ru mere ye hadisa bhi hua
har haqiqat fasane mein Dhalti rahi
kyun bani jaan-lewa meri har ada
teri har baat kyun dil ko khalti rahi
tujh ko pane ki hasrat mein ai zindagi
umr bhar surat-e-shama jalti rahi
monis-e-sham-e-hijran tha tera hi gham
jaan-e-jaan main usi se bahalti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.