mera dil jis ki surat par fida hai
mirā dil jis kī sūrat par fidā hai
abhī tak mujh se vo nā-āshnā hai
maiñ tujh meñ apnā chehra dekhtī huuñ
ye terā husn hai yā ā.īna hai
tirā dīdār hī jān-e-mohabbat
mire zaḳhm-e-tamannā kī davā hai
mire dil ko ho ḳhauf-e-gum-rahī kyuuñ
mirī nazroñ meñ terā naqsh-e-pā hai
jise maiñ zindagī gardāntī huuñ
zamāne kī tarah vo be-vafā hai
ḳhudā hī jaane us kā hai sabab kyā
vo mujh se āj-kal rūThā huā hai
mirā dil kis tarah us ko bhulā.e
mohabbat ḳhūbsūrat hādisa hai
maiñ us ko dekhtī huuñ kis nazar se
mujhe vo kis nazar se dekhtā hai
sukūn-e-dil vahī hai kyā karūñ maiñ
mire jazbāt se jo kheltā hai
ye merī shā.irī ai jān-e-jānāñ
mire TuuTe hue dil kī sadā hai
mera dil jis ki surat par fida hai
abhi tak mujh se wo na-ashna hai
main tujh mein apna chehra dekhti hun
ye tera husn hai ya aaina hai
tera didar hi jaan-e-mohabbat
mere zaKHm-e-tamanna ki dawa hai
mere dil ko ho KHauf-e-gum-rahi kyun
meri nazron mein tera naqsh-e-pa hai
jise main zindagi gardanti hun
zamane ki tarah wo be-wafa hai
KHuda hi jaane us ka hai sabab kya
wo mujh se aaj-kal ruTha hua hai
mera dil kis tarah us ko bhulae
mohabbat KHubsurat hadisa hai
main us ko dekhti hun kis nazar se
mujhe wo kis nazar se dekhta hai
sukun-e-dil wahi hai kya karun main
mere jazbaat se jo khelta hai
ye meri shairi ai jaan-e-jaanan
mere TuTe hue dil ki sada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.